لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

awaz de rahi hai maqtal me sayeda

Miscellaneous2014
ShiaNohaLyrics
Awaz de rahi hai ye maqtal me sayada Zainab mere Husain ka sadqa utar dey narghe me zalimo ke mera laal hai ghira Zainab mere husain ka sadqa utaar dey (1) Ashur ki ye shab hai seyahi liye hue Daman me ek payame tabahi liye hue Dar lag raha hai mujhko Beyaban me bakhuda Zainab mere husain ka sadqa utar dey (2) Allah meri god ke pale ki khair ho Jangal me Teen roze ke pyase ki khair ho Ghabra raha hai der se pahelu me dil mera Zainab mere husain ka sadqa utaar dey (3) pardes me batool ka beta ghareeb hai Zainab mere husain ki halat ajeeb hai Mabood kaisa waqt ye bekas pe apada Zainab mere husain ka sadqa utaar dey (4) Sadqa bala ki rad hai dukhe dil ka chain hai Nau lakh zalimo me akela husain hai Farma rahi hain beti se rokar ye Fatima Zainab mere husain ka sadqa utaar dey (5) Ye kaisi dushmani hai mere nure ain se Takra rahi hai zulm ki had ab husain se Sar katne pe shimre sitamgaar hai tula Zainab mere husain ka sadqa utaar dey (6) Parwaan jinko maine chadaya tha paal kar Layi hun unko bhai ka sadqa nikaal kar Beti ko huqm dijiye kariye na ilteja Zainab mere husain ka sadqa utaar dey (7) Zainab nibha ke farz subokdosh ho gayi Mahfooz maa husain ki khamosh ho gayi Khursheed fir na aayi Beyaba'n me ye sada Zainab mere husain ka sadqa utaar de