لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Arzu e karbala

Mohammad Ali Zaidi2023
ShiaNohaLyrics
Aarzuye Arbaeen Dil me yahi hai aarzu bus jb bhi jauga mai Karbla se laut ke wapas na aaunga Bechain ho rha hu ki jaunga kis tarah Jazbat apne dil ke bataunga kis tarah Wada Jo khud se Maine Kiya tha nebhaunga Dekhe jo zaereen ke badte huye qadam Dil me uthi ye aarzu maula ba chashme nam Jana hua naseeb to paidal hi jaunga Har zaere Husain ki khidmat karunga mai Qadmo ko unke choom ke izzat karunga mai Payaso'n ki yaad me unhe Pani pilaunga Jab karbala ki simt Najaf se chalunga mai Ek ek qadam bahisht ki janib badhunga mai Chal kar malayeka ke paro par mai aaunga Hongi Jo mushkelat Safar me mere kabhi Rukh janibe najaf mai karunga basad tabhi Mushkil kusha ko wasta de kr bulaunga Gumbad mazare Shah ka aaega jab Nazar Aansu bahenge dard se phat jaega jigar Daalunga khak sar pe masaeb sunaunga Abbas ke Alam ko mai chumunga baar baar Aankho ko apni ashko se dhounga baar Gazi k dar pe sar ko mai apne jhukaunga Mai rauzaye husain me pahuchunga jis ghadi Phir baith ke sunaunga nauhey ki har kadi Faryad apni aapko maula sunaunga Khaliq se ilteja hai ki aye rabbe zuljalal Mar jau'n karbala me to hoga na phir malal Maula se apne haqqe mohabbat nebhaunga Sharib qalam ko rok do ab aao karbala Pur dard ho sadaye mohd me marsiya Bole husain aao mai har dam bulaunga