لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hussaini Arbaeen

Mohammad Kazim2020
ShiaNohaLyrics
Ye Arbaeen Arbaeen Arbaeen Hai(2) Akbar Ka Arbaeen Asgar Ka Arbaeen Moula Husain Aapke Lashqar Ka Arbaeen Husaini Arbeen(2) (1) Sarwar Ke Sogwaaro Ke Lab Par Hai Marsiya Dil Me Game Husain Hai Aankho Me Karbala Lazim Tamam Shey Pe He Shabbir Ki Aza Utra Hai Aasma Se Farishto Ka Qafl (2) Dehleeze Shaahe Di Pe He Maqqe Ka Ahtqaaf Sab Ka Hai Ye Akida Nahi Koi Ikhtelaaf Manzar Dikhai Deta Hai Qabe Ka Saaf Saaf Sab Kar Rahe Hain Rouz E Shabbir Ka Tawaaf (3) Hasil Irakiyo Ko Hai Moula Ki Noukri Karte Hain Zayereen Ki Khidmat Khushi Khushi Karbobala Ki Wadi Me Pyaaso Ke Naam Ki Chaaro Taraf Hai Aaj Sabile Lagi Hu (4 )Manzar Ye Arbeen Ke Jaisa Kahi Nahi Kaale Libaas Me He Azadaare Shaahe Di Farshe Aza Me Ho Gyi Tabdeel Sar Zami Mehsoos Hota Hai Ke He Jannat Yahi Kahi (5 )Ham Se Husain Razi Ho Sab Ka Hai Ye Hadaf Maatam Ki Pursadaaro Ne Bandhi Hui Hai Saf Aankhe Hain Karbala Me To Dil Hai Suye Najaf Labbaik Ya Husain A.S Ka Hai Shor Har Taraf (6) Kya Puchte Ho Zayere Sarwar Ki Manzelat Deedare Karbala Se Banaate Hain Aakherat Kis Ko Nahi Hai Shaahe Shaheeda Ki Marefat Ye Wo Hai Bokhlaai Hai Jis Se Yazeediya (7) Ye Shaah Ka Karishma Hai Ye Shaah Ki Bisaat Choti Si Karbala Ko Di Itni Badi Hayaat Lakho Nahi Yaha Pe Carodo Hai Ak Sath Daato Tale Ab Ungli Dabaye N Kayenaat (8) Kazim Ki Guftagu Hai To Rizwan Ka Qalam Sun Kar Munafekeen Ka Niklega Aaj Dam Hatho Me Leke Hazrate Abbas Ka Alam Ye Ishq Ka Safar Yu Hi Jaari Rakhenge Ham