لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Muslim ke dono bache

Mohammad Raza Gopalpuri2015
ShiaNohaLyrics
Muslim ke dono bache..(2) darr darr bhatak rahe hai Muslim ke dono bache..(2) Muslim ke dono bache, darr darr bhatak rahe hai baaki rahe na baba, maa se bichad gaye hai Muslim ke dono bache, darr darr bhatak rahe hai 1. Nile pade hai chehre itne lage tamache koi nahi jo unko paani talak pilade ye kaisi bekasi hai rote hai shahzade baaki rahe na baba, maa se bichad gaye hai 2. Kufe ki tang galiya'n aur raat hai andheri itne chale hai paidal pao hai unke zakhmi ek dusre se bole kya hai yehi yateemi baaki rahe na baba, maa se bichad gaye hai 3. Dekha jo ek zaeefa ne chand se do bache boli ke shahzado tum laadle ho kiske hum hai yateeme muslim roke ye dono bole baaki rahe na baba, maa se bichad gaye hai 4. Kaafi dino se dono soye na the sukoo'n se raato ko jaagte the (rakhte the din me roze)..(2) jab ghar ki yaad aati dono lipat ke kehte baaki rahe na baba, maa se bichad gaye hai 5. Zulfe pakadke haris lekar chala jo ghar se tharra rahe the dono us badgohar ke darr se faryaad kar rahe the kuch rehem humpe khao baaki rahe na baba, maa se bichad gaye hai 6. Talwaar khichi jis dum dono lage ye kehne kar qatl mujhko pehle, kar qatl mujhko pehle lo hogaye juda sar dono ke aaj tan se baaki rahe na baba, maa se bichad gaye hai 7. Sar tasht mein rakha aur darya me phaiki laashe badhkar gale me daali (ek dusre ne baahein)..(2) jaakar mile khuda se karte hue yu aahein baaki rahe na baba, maa se bichad gaye hai 8. Dekha na aisa manzar naushad aasmaa'n ne kufe mein jaisi dekhi rudaad aasmaa'n ne royi zamee'n aur ki faryaad aasmaa'n ne baaki rahe na baba, maa se bichad gaye hai Muslim ke dono bache..(2) darr darr bhatak rahe hai