لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Karbala karbobala

Mohammad Raza Gopalpuri2016
ShiaNohaLyrics
Hai mere dil ki sada, dil ki sada, dil ki sadaa karbala, karbobala, karbobala, karbobala hai mere dil ki sada, karbala karbobala Az khuda karbobala, ta khuda karbobala, ba khuda karbobala karbala, karbobala 1. Ye zamee'n wo hai jahan peer o wali aate hai rozo shab arsh se anwar e jali aate hai khuld se chalke ziyarat ko nabi aate hai rone farzand ko zehra o ali aate hai suno aati hai sada, laal par apne buka, kar rahi hai fatema karbala, karbobala hai mere dil ki sada, karbala karbobala Az khuda karbobala, ta khuda karbobala, ba khuda karbobala karbala, karbobala 2. Chote chote the bohot aun o mohammad lekin nikle jaa'n dene ko shabbir pe dono kamsin zakhmi ho ho ke gire jis ghadi dee'n ke mohsin waqt tha zainab e muztar ke liye kitna kathin haye wo aaho buka, lab pe tha shukr e khuda, koi shikwa na gila karbala, karbobala 3. Tashna lab the yahan atfal o batool o haider yani aulad e shehenshah e bahisht o kausar kahin baqir to kahin pyasi sakina muztar kha gaya teer e sitam tashna labi me asghar alqama behti rahi, saare ghum sehti rahi, aur yehi kehti rahi karbala, karbobala 4. Ye zamee'n wo hai jahan khai hai akbar ne sina jiske jeene ki dua karti rahi khaime me maa ghum me jiske gai beenai e sardar e jina thokre kha kha ke kehte the ke akbar ho kahan jawa saal pisar, aur ek budha pidar, laash uthe to kyukar karbala, karbobala 5. Lasha e qasim e gulru yahan pamaal hua abhi pura bhi nahi ter wa(13) saal hua jism tukde hua aur zakhmi khad o khaal hua khoon itna baha maidan e wigha laal hua bole sheh noor e nazar, muntazir hai madar, kya kahu mai jakar karbala, karbobala 6. Sogaya haay alamdaar labe nehre furaat margaya dil mein liye apne wigha ke jazbaat kardiye mashke sakina pe fida apne haath fatema kyu na kare sher ka matam din raat jo thi masoomo ki aas, ab na bujh payegi pyaas, margaya sher abbas karbala, karbobala 7. Teer e seh shoba jo arbaab e sitam ne maara cheda asghar ka gala bazu e sheh bhi toda munqalib hogaya aghosh e pidar mein bacha maa ki godi hui veeran to khali jhula qabr mein bhi mehlaqa, chayn se reh na saka, kaata uska bhi gala karbala, karbobala 8. Kya sunau tumhe ashoor ke din ki roodad sinae sibte payambar pe jo baitha jallad fatema karti rahi baali pe aaho faryad chal gaya gardan e mazloom pe khanjar naushad andhiya chalne lagi, bibiya rone lagi, chadar e chinne lagi karbala, karbobala Hai mere dil ki sada, dil ki sada, dil ki sadaa karbala, karbobala, karbobala, karbobala hai mere dil ki sada, karbala karbobala..(2)