لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ant e ummul aza

Mohammad Raza Gopalpuri2017
ShiaNohaLyrics
Sayyeda sayyeda sayyeda sayyeda ante ummul aza Raziya marzia qudsiya tahera ante khairun nesa Fatema fatema fatema fatema binte khairul wara 1. Baad e nabi zulm ka kuch is tarah toofa utha Ghar jala darwaza gira pahlu shekasta hua Samne haider ke sitamgaro ne ki wo jafa Tera shekam mohsin e mazloom ka maqtal bana Reh gaya kaap kar rauz e Mustafa Sayyeda sayyeda sayyeda sayyeda ante ummul aza 2. Zulm o sitam ki wo madine me hui ibteda Jiska nazar aa gya anjaam sar e karbala Qatl waha batn me ek maa ka jo mohsin hua Baap ki aghosh me asghar yaha mara gaya Wo bhi gham apka ye bhi gham apka Sayyeda sayyeda sayyeda sayyeda ante ummul aza 3. Dar na jalate jo madeene me tera badguma Karbobala me ma kabhi khaimo se uthta dhuwa Parhti na maula ke gale me jo waha reesma(rassi) Garden e beemar me hota nahi tauq e gera Tere qalb e shekasta(toota hua) pe jaane feda Sayyeda sayyeda sayyeda sayyeda ante ummul aza 4. Uthte the jis beti ki tazeem ko paiham nabi Chin li jallado ne u uske labo se hasi Roti hai mazloomi e masooma pe khud be basi Ghar me hai sadat ke din raat ki faqa kashi Zakhm e zehra ki ho kis tarah ab dawa Sayyeda sayyeda sayyeda sayyeda ante ummul aza 5. Umr hai athhara baras au rasa haath me Bachhe bohot chhote hain ab kon chale saath me Rehti hain din raat namaz aur monajaat me Dard se gir parhti hain din me to kabhi raat me Koi marham nahi ashk e gham ke sewa Sayyeda sayyeda sayyeda sayyeda ante ummul aza 6. Zarbe jafa(zulm ki chot) aisi thi kaari(kamyab) ke qayamat hui Teen maheene nahi guzre ke shahadat hui Ummat e ahmad ko na taufeeq e ayadat hui Aalame ghurbat hi me shahzadi ki rehlat hui Alwida alwida aye shaheede jafa Sayyeda sayyeda sayyeda sayyeda ante ummul aza 7. Ghusl jo haidar ne wasiyat ke mutabiq diya Dekha ke bazu na to pahlu hi salmat raha Jism bohot zakhmi hai masooma e konain ka Peet ke sar rone lage apna imam e huda U na roye kabhi cheekh kar murtaza Sayyeda sayyeda sayyeda sayyeda ante ummul aza 8. Laash nazar aayi jo mazlooma ki zere kafan Seena o sar peet te the zehra ke ghuncha dahan(phul jaise mu waale bachhe) Paayeti thi zainab o kulsum sarhaane hasan Ruk gay eek goshe me ye keh ke hussain e zaman Meri amma bulayengi tab aaunga Sayyeda sayyeda sayyeda sayyeda ante ummul aza 9. Sun ke ye dil soz sada paikar(badan) e zehra hila Bande kafan toot gye aur hua mehshar bapa hathon ko be sakhta shehzadi ne phaila diya ladle shabbier ko phir seene se lipta liya kehti thi u na ro aye mere mehlaqa Sayyeda sayyeda sayyeda sayyeda ante ummul aza 10. Ghurbat e zehra ka ye shamshad ne nauha likha Mursal e azam ne di khud haath uthakar dua Farshe aza se utha kuch is tarah shor e buka Aa gye majlis me jena chhorh kea hl e kisa Barh gyi ronaq e bazm e sehne aza.(azadari ka aangan) Sayyeda sayyeda sayyeda sayyeda ante ummul aza