لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hussain Hussain Hussain

Mohammad Raza Gopalpuri2017
ShiaNohaLyrics
Hussain Hussain Hussain 1. Musibaton me hai Hussain, Aziyaton me hai Hussain Mashaqqaton me hai Hussain, Kin aafaton me hai hussain. Wo dasht e Nainawa,  Waaye Waaye Waaye Bala ka samena,         Waaye Waaye Waaye Hussain Hussain Hussain. 2. Na Muslim ibn e Ausaja, na Jon o Wahb e ba safa(sachha) Na hain Zohair e khush ada(nek kirdar), na ab Habib e ba wafa. Ameer e be kasa, Waaye Waaye Waaye Imam e inso ja,     Waaye Waaye Waaye. Hussain Hussain Hussain. 3. Chala jo Qasim bin Hasan, Khezaon me tha gulbadan(phul jaisa badan) Tha chaak band e pairahan(khula hua gareban), kafan ho jaise zeb e tan.(badan par kafan) Wo tifl e mehlaqa(chand ka tukrha), Waaye Waaye Waaye Sumo(ghorhe ke taap) me pis gaya, Waaye Waaye Waaye Hussain Hussain Hussain. 4. Ajab hai waqt e imteha, sahar me jisne di aza Usi ke seene par sina, tarhap raha hai naujawan. Shabih e Mustafa, Waaye Waaye Waaye Lahu lahu hua,    Waaye Waaye Waaye Hussain Hussain Hussain. 5. Wo aarzu e Murtaza, jab apne ghorhe se gira The bazu shaano se juda, do neem farq e ba wafa.(sar ke do hisse ) Wo mu ke bal gira,  Waaye Waaye Waaye Sakeena ka chacha, Waaye Waaye Waaye Hussain Hussain Hussain. 6. Rabab ka who mehjabi(chand si peshani), ghareeb maa ka naazni(nazo me pala) Shaheed e teer e ahl e kee, ab apne jhoole me nahi Pedar ka ladla,  Waaye Waaye Waaye Shaheed ho gaya,  Waaye Waaye Waaye Hussain Hussain Hussain. 7. Qateel e arz e karbala, aseer e dasht e nainawa Shaheed e raah e kibriya(allah), hua hai zibha be khata Ghareeb o be watan, Waaye Waaye Waaye Parha hai be kafan,   Waaye Waaye Waaye Hussain Hussain Hussain. 8. Behan ne ro ke di sada, teri ghareebi par fida Tera na laasha uth saka, sada rahungi ghamzada Tu be kafan raha, Waaye Waaye Waaye Hui mai be rida, Waaye Waaye Waaye Hussain Hussain Hussain. 9. Sakeena ki wo hichkiyan, wo mu pe khana seliya(tamache) Hua lawo se khoo rawa, chhini jo uski baaliya. Yateema par setam, Waaye Waaye Waaye Ye sin ye dard o gham, Waaye Waaye Waaye Hussain Hussain Hussain. 10. Wo nauha shamshad ne likha, hai qalb e momin ghamzada Uthi jo matam ki sada, to arsh e aazam hil gaya, Hain aankhen sab ki nam, Waaye Waaye Waaye Rahe sada ye gham, Waaye Waaye Waaye Hussain Hussain Hussain.