لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mazloom Baradar

Mohammad Raza Gopalpuri2017
ShiaNohaLyrics
Mazloom baradar mere mazloom baradar Zainab ne kaha aye mere mazloom baradar 1. Kehti thi ye maqtal me nabi zaadi tarhap kar Ghar lut gaya ham qaid hue haaye moqaddar Ab aun o mohammad hain na abbas na akbar Chadar to urha do hame aye ghairat e haider. Kya sham talak jayenge ham u hi khule sar Mazloom baradar mere mazloom baradar. 2. Main apni sunau ke tere haal ko puchhu Chadar bhi nahi sar pe kafan kaise tujhe du Khul jaaye agar haath balayen teri main lu Zakhmi hai badan saara kahan se tujhe chumu Teeron pe tera jism hai sar naize ke upar Mazloom baradar mere mazloom baradar 3. Sau jaa se feda tum pe main qurban tumhare Aye naazishe(naazo ka pala) haider meri amma ke dulaare Sab bhai bhateeje mere jannat ko sidhaare Ab bahr e madad kis ko ye dukhyaari pukare Ghurbat ke andhere me kidhar jaaye ye khwahar Mazloom baradar mere mazloom baradar 4. Lo qaidi banaai gayi bahne bhi tumhaari Dekho hame lene ke liye aayi sawaari Parda hai koi aur na haudaj na amari Bazaar me kya u hi chali jaaon mai waari Sadat ke sar par koi maqna hai na chadar Mazloom baradar mere mazloom baradar 5. Ghazi ko pukaru ali akbar ko pukaru Hai haath bandhe laash teri kaise uthaon Kis tarha tere jism se teeron ko nikalu Dil kehta hai marne ki dua haq se main maangu Kin aankhon se dekhu mai tera laasha e be sar Mazloom baradar mere mazloom baradar 6. Asghar ki khabar to zara lo aa ke khuda ra Aaghosh e lehad me nahi masoom tumhara Be goro kafan dhoop me hai aankhon ka tara Sar tan se sitamgaro ne uska bhi utara Sadme me guzar jaaye na shashmahe ki madar Mazloom baradar mere mazloom baradar 7. Ek bar sakeena ko kaleje se laga lo Kamsin hai bht roti hai godi me utha lo Kuch beeti hui uski suno apni suna lo Mumkin ho agar shimr e sitamgar se bacha lo Khati hai tamacho pe tamache meri muztar Mazloom baradar mere mazloom baradar 8. Shamshad likhu kaise ke purdard hain qisse The bain abhi jaari ke parhne lage durre Aabid ko lage korhe sakeena ko tamache Naize ki ani kha ke lagi bibi ye kehne Bhai se juda karte hain behno ko sitamgar Mazloom baradar mere mazloom baradar.