لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sayyad e sajjad

Mohammad Raza Gopalpuri2017
ShiaNohaLyrics
Sayyed e Sajjad Sayyed e Sajjad 1. Lut gaya zehra ka gulshan karbo bala ke jangal me Kis kis ko beemar akela roye jakar maqtal me Tukrhe hain zehra ke bikhre sare maida, sayyed e sajjad Abid e beemar Sayyede Sajjad Sayyede Sajjad 2. Jalti zami par baap ka tan nok e sena par sar dekha Maa behno ko pahle pahal balwe(bazaar) me be chadar dekha Dar hai kahi tan se nikal jaaye na gham se jaa, sayyed e sajjad Abid e beemar Sayyede Sajjad Sayyede Sajjad 3. Hathkadhya hain haatho me berhiya jiske pairo me Kaise chale paidal aakhir  kunba liye wo ghairo me Durro ki zad par hai pusht e hazi har aan(zakhmi kamar) Abid e beemar Sayyede Sajjad Sayyede Sajjad 4. Phupiya maayen baali sakeena sath me kamsin baqir hai Kaisi musibat me allah aal e nabi e aakhir hai Pushto par khaate hain naizo ki sab anya, sayyed e sajjad Abid e beemar Sayyede Sajjad Sayyede Sajjad 5. Haath pas e garden se bandhe hain namoos e paighambar ke Kaise bachayen bibiyan khud ko ahl e sitam ke pathar se Aankhen nam zakhmi badan khoon me sab ghalta(lath path), sayyed e sajjad Abid e beemar Sayyede Sajjad Sayyede Sajjad 6. Rote hain kha kha ke wo kamsin zakhm tamacho durro ke Aasu bhi to pochh nahi sakte imam un bachho ke Zanjeere hathkarhya haatho me reesmaa(rassi), sayyed e sajjad Abid e beemar Sayyede Sajjad Sayyede Sajjad 7. Maar raha tha jab zalim shah ke labo danda pe chharhi Kaise bataoon bekas ke qalb o jigar par kya guzri Reh gaya bas haaye pedar kah ke wo natawaa(kamzor), sayyed e sajjad Abid e beemar Sayyede Sajjad Sayyede Sajjad 8. Shimr ne jab hakim se kaha haazehi(ye hai) zainab bint o ali Kon bataye abid ke dil ko kitni thes lagi Sar bhi jhuka sakte nahi garden me hai tauq e gera, sayyed e sajjad Abid e beemar Sayyede Sajjad Sayyede Sajjad 9. Mar gayi qaid e sham me ghut kar chaar baras ki chhoti bahan Sab hain aseer e ranjo mahan(ghamzada) kon de mazlooma ko kafan Ghurbat par bachhi ke rote hain peero jawa(burdhe aur jawan), sayyed e sajjad Abid e beemar Sayyede Sajjad Sayyede Sajjad 10. Jal gaya tha jis kurte ka daman shame ghareeba me Dafn usi kurte me kiya apni bahan ko zinda me Ho na saka pura watan jaane ka wo arma, sayyed e sajjad Abid e beemar Sayyede Sajjad Sayyede Sajjad 11. Kamsin ne shamshad bohot thokaren khaai dar dar ki Yaad watan ko karti thi roz yateema sarwar ki Ab na kabhi royegi thaame dar e zinda, sayyed e sajjad Abid e beemar Sayyede Sajjad Sayyede Sajjad