لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Tere alam ko salam

Mohammad Raza Gopalpuri2017
ShiaNohaLyrics
Tere Alam ko salam Durood teri wafa par tere alam ko salam Tere kamal pe qurba tere hasham(shan o shokat) ko salam. 1. Wafa ko manzil e meraj bakhsh di tune Sebat o sabr(musibat bardasht karna) ki sarhad uboor(paar ki) ki tune Teri fazilaten likhe jo us qalam ko salam Durood teri wafa par tere alam ko salam 2. Ali ke lal kahin bhi teri missal nahi Tu wo kamal hai jiko kabhi zawal(girawat) nahi Wafa ki raah me tere qadam qadam ko salam Durood teri wafa par tere alam ko salam 3. Zamana dekh raha hai ye mojza aankhon Rawa hai faiz(karam) tera aaj bhi kate haathon Nisar teri ata par tere karam ko salam Durood teri wafa par tere alam ko salam 4. Jahan khila kiye din bhar shahadato ke gulab Kahi pe qasim o akbar kahi hain jaan e rabab Sada hamara ho is kishwar iram(jannati sheher) ko salam. Durood teri wafa par tere alam ko salam 5. Tera bharosa tha aur fatema ki jaai thi Reda bachane ki tune qasam jo khai thi Ghoyoor(ghairat daar) qaum ka ta hashr us qasam ko salam Durood teri wafa par tere alam ko salam 6. Sarhaane baith ke aasu bahaye aaqa ne Hila ke rakh diya ran ko sada e girya ne Karoro martaba maula ke chashm e nam(bhigi aakh) ko salam Durood teri wafa par tere alam ko salam 7. Wo zanu e shah e wala wo tera zakhmi sar Rahega yaad tere dam nikalne ka manzar Who leke hichkiyan karna shah e umam ko salam Durood teri wafa par tere alam ko salam 8. Udhar to behne tarhapti thi machhlyon ki tarah Idhar sakeena ke asoo the motiyon ki tarah Gire alam pe jo un ashk haaye gham ko salam Durood teri wafa par tere alam ko salam 9. Teri judaai ka gham qalb par uthaye hue Gale se sayyed e sajjad ko lagaye hue Ghareeb e fatema zehra ne bheja ham ko salam. Durood teri wafa par tere alam ko salam 10. Redayen shimr ne chheeni jo sar se itrat(ahlebait) ke Na thehra sar tera naize pe maare ghairat ke Teri haya ko salami tere haram ko salam Durood teri wafa par tere alam ko salam 11. Zami se taba falak shohrat e wafadari Farishte karte hain shamshad khud azadari Sada e girya o matam julus e gham ko salam. Durood teri wafa par tere alam ko salam