لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Khoon Se Rangeen Hui Karbobala

Mohammad Raza Gopalpuri2019
ShiaNohaLyrics
Khoo se rangeen hui Karb o bala Karbala aaj bhi hay karb o bala 1.Wada tifli ka nibhanay ko chalay Ummat e jad ko bachanay ko chalay Pyas khanjar ki bujhanay ko chalay Ho ga kuch dair may sar tan se juda Khoo se rangeen hui Karb o bala Karbala aaj bhi hay karb o bala 2.Noor ankhon ka jo tha rooth gaya Sehra Qasim ka teray toot gaya Tera Abbas tujh se choot gaya Teer shishmah e Mujahid pe chala Khoo se rangeen hui Karb o bala Karbala aaj bhi hay karb o bala 3.Baad e Shabbir ye kehta tha laeen Ghar walo karna hay aaram nahi Jang may foji bhi taktay hain kaheen Looto sadaat ko aur cheeno rida Khoo se rangeen hui Karb o bala Karbala aaj bhi hay karb o bala 4.Phatta tha seena jo kehti thi behen Aey ghareebul watan aey tashna dehan Qaid may jaati hoon bandhwa ke rasan Aaon gi karnay ab chehlum may tera Khoo se rangeen hui Karb o bala Karbala aaj bhi hay karb o bala 5.Aik rassi may bandhay bara galay Haey ye zulam aur nazaon ke palay Kis se shikwa karay naseeb jalay Koi pardes may apna na raha Khoo se rangeen hui Karb o bala Karbala aaj bhi hay karb o bala 6.Aag khaimo me lagi kunba luta Kurta nadan Sakina ka jala Jhoola shashmahay ka baqi na raha Aagay taqdeer may kia kia hay likha Khoo se rangeen hui Karb o bala Karbala aaj bhi hay karb o bala 7.Kaise behlaye Sakina ko behan Raat din roti hay aseer e mehan Lash us ne bhi to dekhi be kafan Aur teray dafan ka saman na hua Khoo se rangeen hui Karb o bala Karbala aaj bhi hay karb o bala 8.Khaimo may aaj koi baat nahi Akbar o Qasim o Abbas nahi Mujh ko ab bhook nahi pyas nahi Tu hay be gor o kafan may berida Khoo se rangeen hui Karb o bala Karbala aaj bhi hay karb o bala 9.Dekhon kin anhkon se manzar ye akhi Sar tera tasht may hay aur shaqi Marta hay lab o dandon par charri Kash aa jati mujhe pehlay qaza Khoo se rangeen hui Karb o bala Karbala aaj bhi hay karb o bala 10.Maoon ki goad may bachay na rahay Pusht se oonton ki gir gir ke maray Ham jo roey to adoo khoob hansay Murda bachon ko uthanay na dia Khoo se rangeen hui Karb o bala Karbala aaj bhi hay karb o bala 11.Rotay hain jinn o malak aur bashar Ankhain har ik ki hain ashkon se tar Sun ke har aik ka phatta hay jigar Noha Noushad ne kuch aisa likha Khoo se rangeen hui Karb o bala Karbala aaj bhi hay karb o bala