لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Bohat Khoon Ke Aansu

Mohammed Khan2021
ShiaNohaLyrics
jab bali sakina ka chacha bhi nahi aaya to jaari hua ankhon se ajab khoon ka dariya ankhon me hai chaya hua sarwar ke andhera ghabrane lagi bibiyan jab shor ye uttha atthara bhaiyon me koi pas nahi hai ab lashkar e shabbir me abbas nahi hai bazu labe sahil kate abbas ke jis dum sehdaniya royi hai bohat khoo'n ke aansu jinno bashar me haye bapa ho gaya matam sehdaniya royi hain bohat khoo'n ke aansu 1. kuch bibiyan bacchon ko ab deti hai dila se hain khushk unke hont wo muddat se hain pyase ab palke sakina ki hui khoon se purnam sehdaniya royi hain bohat khoon ke aansu 2. sehdaniyon ke sar pe musibat ki ghadi hai be guslo kafan laash beradar ki padi hain sehra ki fazaye bohat karti hain matam sehdaniya royi hai ab bohat khoon ke aansu 3. Atthara saal wala wo humshakle payember sine pe sina khake wo sota hai zamin par akbar gaye to maa ki kamar hogai thi kham sehdaniya royi hai bohat khoon ke aansu 4. dushman hua hai charo taraf sara zamana sehra me pareshan hai mohammed ka gharana bachho ki zaba'n dekh ke rota raha zam zam sehdaniya royi hai bohat khoon ke aansu 5. sar ko jhukaye ran me hai baithe hue sarwar kehte hain jigar tham ke ate mere dilawar bhaiya tumhari baad kamar thod gaya ye ghum sehdaniya royi hai bohat khoon ke aansu 6. ab foze hussaini ka alamdaar nahi hai sheh tanha hai jungal me madadgaar nahi hai tanhai me shabbir ki hai surkh do aalam sehdaniya royi hai bohat khoon ke aansu 7. sab bacche sakina ki qayadatt me khade hai bechain hai dariya ki taraf dekh rahe hain sukhi zuban honto pe phirate rahe pehum sedaniya royi hai bohat khoon ke aansu 8. ya rab hussain e paak ke roze pe bulale hain nasle humari tere ghazi ke hawale ta umr wasi nauha likhe ho sada matam sehdaniya royi hai bohat khoon ke aansu