لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Maqtal mein khule sar jab

Muqarrib Raza2017
ShiaNohaLyrics
Maqtal me khule sar jab hamsheer nazar aayi, Asaane shah-e-deeñ ko shamsheer nazar aayi 1) Khoda gaya chashma bhi ek boond nahiñ nikla-2 Naakaam thi pyaaso'n ki tadbeer nazar aayi. Maqtal me khule sar jab Hamsheer Nazar ayee-2 2) Yuñ rann me rajas padhte akbar jo chale aaye-2 Duniya ko muhammad ki tasweer nazar aayi. Maqtal me khule sar jab Hamsheer Nazar ayee-2 3) Khud apni Jafawo'n par mu'n dhaamp ke rote the, Besheer ke hotoñ ki taaseer nazar aayi. Maqtal me khule sar jab Hamsheer Nazar ayee-2 4) Jab asr ka waqt aaya baaqi na raha koi, Bargushta musafir ko taqreer nazar aayi. Maqtal me khule sar jab Hamsheer Nazar ayee-2 5) Jo kuch ke guzarni hai sajjad pa guzregi, Jab aañkh khuli ghash se zanjeer nazar aayi. Maqtal me khule sar jab Hamsheer Nazar ayee-2 6) Ek din me bhala roye kis kisko yeh dukhyaari, Ek aaha bhi zaalim ko taqseer nazar aayi. Maqtal me khule sar jab Hamsheer Nazar ayee-2 7) Ehsaas ki majlis me yeh rang "MUJAHID" ka, Aañkhoñ se dhale aañsu taaseer nazar aayi. Maqtal me khule sar jab Hamsheer Nazar ayee-2