لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Jab se choota vatan sakina ka

Muqarrib Raza2019
ShiaNohaLyrics
Jab se choota vatan sakina ka Khoon rota hai man sakina ka. 1) Arsh kaanpa zameen ki aaahon se -2 Shimr ke durre aur tamachon se, Zakhmi zakhmi hai tan sakina ka. Jab se choota----2 2) Zulm vo dhaaye dushmane eemaan-2 Ho gaya haye khoon me ghaltaan, Phool jaisa badan sakina ka. Jab se choota----2 3) Ye samaa kam nahi hai mehshar se-2 Saamne natawan baradar ke, Hai janaza behen sakina ka. Jab se choota----2 4) Boli umme rabaab ro ro kar-2 Kaise dafnaye abid-e- muztar, Zakhmi lasha behen sakina ka. Jab se choota----2 5) Ye bhi pardes me sitam toota-2 Qaid me ek jala hua kurta, Ban gaya hai kafan sakina ka. Jab se choota----2 6) Jab madine me kaafila pahuncha-2 Sun ke behosh ho gayin sughra, Maajra khastatan sakina ka. Jab se Choota---2 7) Ban gayi hai MUJEEB ki qismat-2 Hai MUQARRIB BILAL ki daulat, Zikre tashnadahan sakina ka. Jab se choota vatan sakina ka Khoon rota hai man sakina ka---3