لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sar Barehna hai dayare gair Me binte ali

Muqarrib Raza2023
ShiaNohaLyrics
Sar Barehna Hai Dayaar E Ghair Me Bint E Ali Haye Zainab Haye Shaam (2) Sar Barehna Hai Dayaar E Ghair Me Bint E Ali (2) Abid E Dilgeer Ro'e Aur Sar E Shabbeer Bhi Sar Barehna Hai Dayaar E Ghair Me Bint E Ali (2) 1) Dekh Ye Kaesi Hui Hai Teri Zainab Par Jafa Waaris E Tat'heer Ho Kar Bhi Bahen Hai Be Rida Haye Maiñ Lekar Balayeiñ Teri Kyuñ Na Mar Gayi Sar Barehna Hai Dayaar E Ghair Me Bint E Ali (2) 2) Koi Mehmil Hai Na Haudaj Aur Nahiñ Sar Par Rida Sar Pa Od'he Gham Ki Chaadar Chal Raha Hai Qafela Aayiye Baba Madad Ko Hum Pa Aafat Hai Badi Sar Barehna Hai Dayaar E Ghair Me Bint E Ali (2) 3) Ghir Gayi Hai Dushmano Ke Darmiyaañ Aal E Nabi Koi Sadqa Phaiñk Ta Hai Sar Pa Angaare Koi Khooñ Rulaata Hai Sinaañ Par Bhaai Ko Manzar Yehi Sar Barehna Hai Dayaar E Ghair Me Bint E Ali (2) 4) Baba Baba Keh Ke Har Dam Roti Hai Dukhtar Teri Sakhtiyaañ Ahl E Sitam Ki Sehti Hai Dukhtar Teri Kar Rahi Hai Teri Beti Par Fughaañ Khud Be Kasi Sar Barehna Hai Dayaar E Ghair Me Bint E Ali (2) 5) Jab Jari Ko Saniye Zehra Ka Sar Aaya Nazar Aañkh Se Tapka Lahu Teh'ra Nahiñ Naize Pa Sar Gir Gaya Karte Huwe Woh Khaak Par Nauha Yehi Sar Barehna Hai Dayaar E Ghair Me Bint E Ali (2) Haye zainab sa-2 6) Qafela Jab Shaam Ke Baazaar Me Aakar Ruka Shaam Waloñ Se Ye Us Dam Ro Ke Fizza Ne Kaha Apni Nazroñ Ko Jhukaao Hum Haiñ Namuse Nabi Sar Barehna Hai Dayaar E Ghair Me Bint E Ali (2) 7) Kya anoosh e Ghamzada thi wo Qayamat ki ghadi Jab kanizi me Jari ki laadli mangi gayi. Thi sada har su'n Muqarrib Al madad Maula Ali Kya "Muqarrib" Aur "Anoosh" Thi Wo Qayamath Ki Ghadi. Jab Kanizi Me Jari Ki Laadli Mangi Gayi. Sab ke Lab Par Yeh Sada Thi Al Madad Maula Ali (a.s).