لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aksar ye kaha karti thi

Muqtadi Raza Amrohi2013
ShiaNohaLyrics
Haye sughra, haye sughra haye haye sughra..(2) Aksar ye kaha karti thi zindaa'n mein sakina acha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2) 1. Beemar thi tumse ye safar tay nahi hota mar jaati jo tum dekhti akbar ka tadapna in aankho'n ne dekha hai wo barchi mein kaleja acha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2) 2. Jo mujhpa guzarti hai bahan mujhko khabar hai kya hoti hai gardan mein rasan mujhko khabar hai maara hai badi zor se zalim ne tamacha acha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2) 3. Tum dekh nahi sakti thi besheer ki haalat khud baap ne dafnayi hai masoom ki mayyat phir khod ke turbat ko gala kaata hai uska acha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2) 4. Sar sajde mein baba ka tha gardan pe churi thi kuch door khadi meri phuphi dekh rahi thi pani na diya shimr ne sukha gala kaata acha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2) 5. Yaad aata hai beemar ko zainab ka uthana dariya ki taraf dekh ke ghazi ko bulana jab sochti hu mu se nikalta hai kaleja acha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2) 6. Sar nange phuphi amma ka darbaar mein jana zanjeer mein jakde hue mukhtaar ka aana dekha na gaya abid e beemar ka chehra acha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2) 7. Pehchaan na paogi jo tum mujhse milogi kya naam hai tu kaun hai mujhse ye kahogi waise nahi ummeed ke milna ho dobara acha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2) 8. Sughra se raza haaye na mil payi sakina sab chut ke watan aagaye aayi na sakina mar hi gayi zindaan mein padte hue nauha acha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2) Haye haye sughra....