لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Yasrab me qayamat barpa hai

Murtuza Ali2015
ShiaNohaLyrics
Yasrab me qayamat barpa hai or shaam ka zindaa'n rota hai Baghdad ke pul pe jafar ke bete ka janaza rakkha hai Jis baap ke ho atthara pisar ho uska janaza raste par Allah ye kaisa manzar hai ye soch ke dil tharrata hai.. Yasrab me qayamat barpa hai or shaam ka zindaa'n rota hai Zinda'n me guzari umre hazee uski ke jo jannat ka tha makee'n Sajjad ke waris ka lasha masduro ne milke uthaya hai Yasrab me qayamat barpa hai or shaam ka zindaa'n rota hai Ya musse kazim walela ×2 Ya musse kazim walela ×2 Hoto pe raza ke nauha hai aflak main matam barpa hai... Yasrab me qayamat barpa hai or shaam ka zindaa'n rota hai Masuma e kum hai faryadi bechan hue phir shahzadi Hai karbobala larza larza kohram najaf mae barpa hai Yasrab me qayamat barpa hai or shaam ka zindaa'n rota hai Sajjad ka har gham taza hua shabbir ka har gham taza hua Allah ye kaise qaidi ka gurbat me janaza utha hai.. Yasrab me qayamat barpa hai or shaam ka zindaa'n rota hai Asbab e hazee'n jaa'n khote hai sar peet ke maula rote hai Saya hai jo ghamgeeno ka uspe hi ghamo ko saya hai.. Yasrab me qayamat barpa hai or shaam ka zindaa'n rota hai Kazim ke musibat ka nauha kab koi bashar likh paega Aakho se "AZEEM" aansu hai rawa magmun kalam me rasha hai.. Yasrab me qayamat barpa hai or shaam ka zindaa'n rota hai