لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Tha Bali Sakeena Ka Noha

Murtuza Jazib2020
ShiaNohaLyrics
Khwab me bali sakeena k jo aaye sarwar- haye mazloom husaina ki sada thi lab par- Aaya jab tasht me beti k liye bap ka sar- Tha ajab dard bhara qaid e sitam ka manzar- Sar pa sar rakh ke fugha'n karti thi- Apne baba se ye ro ro k baya'n karti thi... Paas apne bula lije baba Tha bali Sakeena ka noha - paas apne bula lije baba. 1)Kal aap ke seene per sooyi- Ab khakh pe baba soti hun- Ye shimr e layeen kyun marta hai- main aap pe jab bhi roti hon(2) Jeene main nahin ab dil lagta- Paas apne bulalije baba. 2) Aada ne guzara hai humko- Be parda bhi bazaaron se- Dil zakhmi huwa mera baba- In sadqon ki bocharon se(2) Kehte hain hamin baaghi aada- Paas apne bulalije baba. 3) Darbaar e sitam me bey chadar- Ye zulm huwa baba mujhpar- Jab Maanga kaneezi me mujhko- Abid pe chala gham ka khanjar(2) Main deti rahi ammu ko sada- Paas apne bulalije baba. 4) Nazdeek hi darya behta tha- Ek bond na lekin mujhko mili- Zalim ne jo pani phenk diya- Main pyasi kharhi takti he rahi(2) Ehsas e yatemi mujhko huwa- Paas apne bulalije baba. 5) Seena jo tumhara yaad aaya- Kehti thi phuphi ammañ mujhse- Aa soja tu mere seene par- Baba na tere ab aayenge(2) Dil gham se huwa para para- Paas apne bulalije baba. 6) Jab jab bhi main royi hun baba- Sajjad ne durre khaye hain- Khamoosh huwi jab bhi baba- Zalim rulwane aaye hain(2) Yun mujhko satate hain aada- Paas apne bulalije baba. 7) Lagta hai ke main marjaongi- Ghar laut ke jana paaongi- Zindañ ke andhere me baba- Ek din main yahin sojaaongi(2) Qismat hai andhera ghar mera- Paas apne bulalije baba. 8) Aaghosh me lekar baap ka sar- Bibi ne kiya duniya se safar- Shahkar tha barpa ek mehshar- Zindan me aye Jazib Qaisar(2) Ab kaun padhega ye nauha- Paas apne bulalije Baba. Tha Bali Sakeena Ka Noha Paas Apne Bulalije Baba.