لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Kufe ka aur shaam ka manzar

Nadeem Sarwar1989
ShiaNohaLyrics
Kufe ka aur shaam ka manzar yaad jab aajata hai baba dil mera phat jaata hai baba kufe ka aur shaam ka manzar 1. Qabr pe shabbir ki karte the abid buka hogayi kya kya jafa, suniye shahe karbala sar pe kisi ke na thi chadar yaad jab aajata hai baba dil mera phat jaata hai baba kufe ka..... 2. Ek rasan mein baandhe chote bado ke gale barsare darbar sab is tarha laaye gaye kotho se barsaat the pathar yaad jab aajata hai baba dil mera phat jaata hai baba kufe ka..... 3. Kufe ke baazar mein majma-e kuffaar mein ek tamasha sa tha, aale sitamgaar mein aise mein maa behne khule sarr yaad jab aajata hai baba dil mera phat jaata hai baba kufe ka..... 4. Tauq se hargiz na tha baba mera sar jhuka hathkadi aur bedi ka koi mujhe gham na tha dekha nahi jata tha manzar yaad jab aajata hai baba dil mera phat jaata hai baba kufe ka..... 5. Bali sakina ka gham dil ye nahi bhoolta sab ke the shaane bandhe uska bandha tha gala dard se wo roti thi muztarr yaad jab aajata hai baba dil mera phat jaata hai baba kufe ka..... 6. Meri phuphi jaan thi balwe mein jo sar khule naize se ammu mere farsh pe gir padte the haaye chacha jaan ka safar yaad jab aajata hai baba, dil mera phat jaata hai baba kufe ka..... 7. Leke gaye jab hame bazm-e-sitamgaar mein saat-sau(700) kursi nasheen baithe the darbaar mein takht pe baitha tha sitamgar yaad jab aajata hai baba dil mera phat jaata hai baba kufe ka..... 8. Jab kiya sajjad se aake kisi ne sawaal guzra kaha par imaam aap ko zyaada malaal? kehte thay as-shaam muqarrar yaad jab aajata hai baba dil mera phat jaata hai baba kufe ka..... 9. Maqtalo tareekh bhi kar na sake haq adaa likkhe aneese hazeen girya-e abid ko kya? kahte the ye abid e muztarr yaad jab aajata hai baba, dil mera phat jaata hai baba kufe ka.....