لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ay Fatima Sughra Ghar Lut Gaya Beta

Nadeem Sarwar1990
ShiaNohaLyrics
Watan mei ehle haram ka jo kafela pahocha Basheer karta tha sar apna peet ke nauha Madine walo nabi ka ujad gaya kunba Fakat hai mardo mei baki janabe zainul aba Nabi ke roze pe woh sabse pehle jayege Vahi pe hale safar apna woh sunayenge Madine walo ne jis dum suni yeh gum ki khabar Bukao sina zani se bapa hua mehshaar Asa sambhale huey ek bibi peeti thi sar Nabi ke roze pe jaati thi kehti hai padar Arey Karib naqoke pohchi jo fatema sughra To usne nalao sewan mei apna naam suna Aye fatema sughra ghar lut gaya beta..(2) Kya dhondti hai haal pareshan dulari Baba ki tere aaiyi nahi firqe sawari Bhayya ali akbar bhi tera aya na pyaari Sau bar phuphi ho tei muzloomi pe wari Mein deti ho pursa Mei tujko sunati hu wh sab haal safar ka Pardes mein kis tarha luta gulshane zehra Sar nange gaya kis tarha bazar mein kunba Darbare sitamgaar ka aur qaid ka kissa Sun aai mein dukhiya .. ae fatima sughra Jis waqt hua barchi se tukde dile akbar Aankho'n mein basarat na rahi shah ke dilbar Laashon ko utha le gaye is hal mein sarwar Girte the har ek laash pe akbar ki samajhkar Milta na tha laasha .. ae fatima sughra Shabbir ne jab laasha e farzand ko paya Khechi jo sina sath kaleja nikal aaya Mayyat ko jawan bete ki phir jhukke uthaya Lakar use maidan se khaime mein litaya Ek hasr tha barpa .. ae fatima sughra Tu dhundti hai jiski har ek god mein dilgir Che mah ke asghar ki nahi thi koi taqsir Mara bine kahil ne tere bhai pe ek tir Khoon muh se ugal kar hua be jaan wo besheer Khali hua jhula .. ae fatima sughra Shaadi hui kasim ki magar ras na aayi Ek raat suhagan rahi bewa huwi kubra Pamal kiya zalimo ne dulhe ka laasha Maqkat mein tane jane hasan bikhra pada tha In ankhone dekha .. ae fatima sughra Uf tashnagi bachcho ki jo pate the nahi chayn Aati thi sadaa e alatash aur kabhi bayn Jab hadse siva dekha jo atfal ko bechayn Pani gaya bharne pisare sayyed e kaunayn Mara gaya saqqa .. ae fatima sughra Kamsim bhi the pyase bhi the woh dono dulare Lekin na gaye ladte woh darya ke kinare Kuch gham nahi jo aun o muhammed gaye mare Pehle hi se woh bhai ke sadke me utaare Kya fikr ho unka .. ae fatima sughra Baad jiske ayaa karbobal mein hua mehshar Shabbir ki gardan pa chala zulm ka khanjar Khhaime bhi jalaye gaye aur chin gayi chadar Na mehramoka majma tha aur hum the khule sar Har lamha thi eeza .. ae fatima sughra Bachcho ke gale bazu hamare gaye baandhe Kuch oo'nt liye itne mein aada waha'n aaye Un nako pe bithlaya na tha jinpe kajave Thi gyarah moharram jo chale karbobala se Din raat safar tha .. ae fatima sughra Kis tarha sunau mein safar ka tuje ehwaal Chehro ko chupaye hue the bibiyo ke baal Is jabr o tashaddut ke safar se tha bura haal Kuch jism ke hisso se juda ho gayi thi khaal Woh dekhegi beta .. ae fatima sughra Sab bibiyo'n ke haath pase pusht bandhe the Mao ke bajae the pisar maao ko pakde Raftaar ki tezi se sambhal paye na bachche Chausat(64) mere masoom gaye naqo se kuchle Yeh taza alam tha .. ae fatima sughra Darbar e yazide mein gaye phir hame lekar Bithlaye the wa'a kursi nasshi satso(700) lakar Jakde hue rassi me the aur hum the khule sar Phat jata hai dil karti hu jab yaad woh manzar Kya waqt kathin tha .. ae fatima sughra Darbar se le jake rakha qaide sitam mein Paaya na sukoo'n waah bhi izafa hua ghum mein Ghut ghut ke sakina mari zindane sitam mein Ek bar qayamat hui phir ehle haram mein Lasha bhi na uththa .. ae fatima sughra Zindaa'n mein hi nanhi si qabr ek banayi Dafna di basad jabr wahan banu ki jaayi Hum sabko diya zalimo ne hukme rehaayi Markar bhi rehai na mayassar use aayi Woh reh gaayi tanha .. ae fatima sughra Zindaan ke darwaze pa jab aayi amari Sar pitke ye bonu e nashaad pukari Bar aayi tamannae dili ab teri pyaari Utho chalo ghar jate hai aye dard ki maari Shak hota tha sina .. ae fatima sughra Maa deti rahi pitke sar apna duhai Thi shaak bahut bibiyo ke dil pe judaai Lekin hui marqad se sakina ke judaai Phir shaam ke zindaan se karbobala aayi Phatta tha kaleja .. ae fatima sughra Jab bibiyo ko ganje shaheeda nazar aaya Naqe se har el bibi ne apne ko giraya Nazro mein tha ashur ka manzar jo samaya Bus dekhte hi muh se kaleja nikal aaya Har labpe tha nauha .. ae fatima sughra Sajjad ne dafnadiye jab lashe bahattar Ansoro azizo ka kiya chehlum e asgar Abbas ka qasim ka chehlum e akbar Us alame ghurbat mein kiya chehlum e sarwar Kuch paas nahi tha .. ae fatima sughra Sughra ne suni zainabe muztar se ye rudad Chehra na raha zapt ka gash ho gaayi nashaad Us waqt anees ehle haram ne jo ki fariyad Hosh apne gawa baithe waha jitne the aabad Sab karte the nala .. ae fatima sughra Aye fatema sughra ghar lut gaya beta