لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Haan Tha Mera Baba

Nadeem Sarwar1990
ShiaNohaLyrics
Suno ke likhta hu mai dard naak wo manzar the ek rasan me gale baara aur barehna sar jab aayi shaam ke darbaar mein garida jigar padi sakina pe nagaah us shaqi ki nazar yazeed naam tha jiska sajaa ye tha darbaar liye tha god me dukhtar ko apni wo makkar wo apni bachhi ke baalo mei haath pherta tha laga ke seene se bachi ko pyaar se dekha lehek ke baali sakina se wo shaqi bola tujhe bhi baba tera aise pyaar karta tha kaha sakina ne, mai shahe dee'n ki pyaari hu tabaah haal hu, is dum dukho ki maari hu tu mere baba ka gandi zubaa'n se naam na le ghuroor itna na kar baandh kar rasan mein hume mai kitni pyaari thi baba ki kya batau tujhe mai bhool sakti nahi apne baba ko marke mai jab bhi roti thi baba mujhe manata tha banake hatho'n ko jhula mujhe jhulata tha haan.. tha mera baba 1. Mai seene pe soti thi taskeen si hoti thi maa banke mujhe jisne aaghosh me paala tha 2. Kya puchta hai mujhse khud puchle baba se sar tasht mein rakha hai wo khud hi bata dega 3. Mai kitni dulari hu go dard ki maari hu gar unko bulau mai sar god mein aayega 4. Kyu mujhko rulata hai aisa kahi hota hai bin baap ki bacchi ko dete hai dilasa 5. Teri bhi to beti hai godi mein jo baithi hai tu dekh use zalim phir dekh mera chehra 6. Abbas agar hote kunbe ko mere kaise tu baandh ke rassi mein darbaar mein laata 7. Ye kurta fata mera jo khoon mein hai dooba abbas jo dekhenge ek hashr bapa hoga 8. Chalta na agar khanjar shabbir ki gardan par hum qaid nahi hote akbar na sina khaata 9. Ye khaak aseeri ki chehro pe nahi hoti baba mera sajde mein gar sar na kata ta 10. Mai seene pe soti thi taskeen si hoti thi maa banke mujhe jisne aaghosh mein paala tha