لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mai jab bhi watan jaungi bhaiyya Bin tere na ghar jaungi bhaiyya

Nadeem Sarwar1990
ShiaNohaLyrics
Abid ne kaha aake kareeb bint e ali ke Ab sue watan chaliye phuphi jaan mai sadqe Sunkar ye khabar zakhm e jigar phatt gaye saare Markad se lipat kar kiye zainab ne naale Mai jab bhi watan jaungi bhaiyya Bin tere na ghar jaungi bhaiyya Atthara baras ka ali akber bhi yahi hai Cheh maah ka nanha ali asghar bhi yahi hai Hai khaak basar farwa ka dilber Paamal badan qasim e muztar Kis dil se mai ghar jaungi bhaiyya Kya din the ke aabad tha zahra ka gulistan Ye kiski nazar kha gayi sab ho gaya veeran Baki nahi ab koi nigehbaan Sab bhai mere ho gae bejaan Marjaungi Marjaungi bhaiyya Abbas se aur tumse hai zainab ko nidamat Zindaan me chord aai hu dono ki imanat Kya toot gai mujhpe qayamat Kis darja hai zainab ko khijalat Wo labb pe nahi laungi bhaiyya Sota hai mera dhoop me nanha ali asghar Kehti hai ye bano ke hai waali bhi yahi per Zindaan me ek mar gayi dukhtar Baithegi na ab saaye me madar Kya kehke mai samjhaungi bhaiyya Tayyar nahi sue watan jane ko laila Wo kehti hai mai chord du kis tarha se tanha Atthara baras ka mera beta Reh jaega is bann me akela Kaise use samjhaungi bhaiyya Aamad ki khabar sunke "anees" aayenge saare Ye neel numaya hai jo baazu pe rasan ke Gar pooch liya mujhse kisi ne Batlaungi unko mai ye kaise Buss sharm se marr jaungi bhaiyya.