لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Wo Shehenshah e zaman

Nadeem Sarwar1990
ShiaNohaLyrics
Wo shahenshah-e-zaman, jisko kafan bhi na mila 1. Wo Mohammad ka nawasa, woh hussain ibn-e-ali gulshan-e-fatema zahra ki wo masoom kali naam hai panjatan-e-paak mein ba harf-e-jali hurmate deen-e-khuda jis ki shahadat mein dhali hote rehte the jise hulla-e-firdos ataa wo shahenshah-e-zaman... 2. Jhoola jibreel ne bachpan mein jhulaya wo hussain dosh par jisko payambar ne bithaya wo hussain jis pe quran ke paaro'n ka tha saya wo hussain pani dil khol ke dushman ko pilaya wo hussain haye us bekas-o-nadaar ko pani na diya wo shahenshah-e-zaman... 3. Dasht mein gher liya jisko bulakar mehmaan saamne jis ke tadapta raha akbar sa jawan khench li jis ne jawa'n bete ke seene se sina jis ke haathon pe huwa qatl pisar guncha daha'n aakhri naasir-e-mazloom bhi jis ka na raha wo shahenshah-e-zaman... 4. Khoob rote hai jo apna koi marjaata hai laasha be waali-o-waris ka kafan paata hai aur taras khaake use koi bhi dafnaata hai taaziyat kay liye dushman bhi chala aata hai haaye afsos jigar gosha-e-mehboob-e-khuda wo shahenshah-e-zaman... 5. Haaye pamaal huwi laash-e-hussain ibn-e-ali bhai ki laash pay mazloom bahan ro na saki laashe urya pe lahu, chashme falaq roti thi kalma padte the payambar ka aur haste the shaqi laash par jamti thi khaaq aur yeh deti thi sada wo shahenshah-e-zaman... 6. Parcham-e-hazrat-e-abbas uthaane wale rahe aabad aza-khaane sajaane wale aur salamat rahe nauho ko sunane wale gham-e-sarwar me hai jo ashk baha ne wale fatema zahra unhe khuld mein deti hai dua wo shahenshah-e-zaman... 7. Zikr-e-maula me qalam rok na apna mehshar dekh zainab ke nahi sar pe abhi tak chaadar pursa deta rahe ashaar se sheh ka mehshar rakh tasawwur mei ke hai dasht mein laash-e-sarwar laashe urya'n ko udata rahe nauho ki rida wo shahenshah-e-zaman...