لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Bhai Mai Zainab Hon

Nadeem Sarwar1991
ShiaNohaLyrics
wo sare hussain, wo jaabir, woh karbala wo shaam se palat ke jab aaya tha qafila naqon ke jo chalnay se ubharne lagi sada jaabir ne bhad ke qafilay waalon se ye kaha ruk jao ke ye saltanat-e  ibn-e-ali hai naqon pe yahan aana badi  be-adabi hai jab is sada ko zainab-e-dilgeer ne suna roi jigar ko thaam ke aur ro ke ye kaha parwar-digar shukr hai tera bahot bada jageer hai ye ghazi ki aati hai ye sada phir is ke baad naaqay se khud ko gira diya abbas ki behan ne tadap ke ye di sada arey zainab hoon bhai zainab hoon bhai bhai mai zainab hoon ye karbala hai jageer teri hum aaye teri jageer may reh jaaye zindaan may hi sakina ye bhi likha tha taqdeer may pehchano mujh ko ay mere ghazi zinab hoon, ay bhai bazaar-e-kufa se woh guzarna ehle haram ke salaar ka bhaiya sajaya tha ashqiyaan ne ek ek kona bazaar ka pehchano mujh ko ay mere ghazi zainab hoon, ay bhai bhaiya tumhari ghairat ki khatir baalon se parda karti rahi chadar nahin thi sar per jo meray ek ek qadam par marti rahi pehchano mujh ko ay mere ghazi zainab hoon, ay bhai bhaiya sakina ko ek shaqi ne maanga kaneezi main jis ghadi mai binte zehra mai binte Haider bhaiya laraz kar mai reh gayi pehchano mujh ko ay mere ghazi zainab hoon, ay bhai kaisa andhera zindaan tha wo jisme sakina jaan se gai baba chacha se mujh ko mila do masoom ro ro kehti rahi pehchano mujh ko ay mere ghazi zainab hoon, ay bhai kurta jo uska khoon may bhara tha us ko banaya mai ne kafan jab dafn karte thay us ko abid tharra-raha tha un ka badan pehchano mujh ko ay mere ghazi zainab hoon, ay bhai zindan se chut kar main aa gai hoo ranj-o-alam ki chadar liye baazar-e-kufa may hain jo guzray ankhon may saare manzar liye pehchano mujh ko ay mere ghazi zainab hoon, ay bhai rehan zainab ki ye fughan thi abbas-e-ghaazi ki laash per deti kafan mai ay bhaiyya tumko chinti na sar se chadar agar pehchano mujh ko ay mere ghazi zainab hoon, ay bhai