لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aye sheh ke azadaro

Nadeem Sarwar1993
ShiaNohaLyrics
Aey sheh k azadaron… tareeq ke kirdaro kis baat may tum kam ho ae sheh ke azadaro kis baat may tum kam ho darya ho samandar ho tum seep-o-gowhar ho tum marze-qalandar ho sehra may gulay tar ho tum mazme abuzar ho tum fikr ke qambar ho tum hur ka qabeela ho tum john ka lashkar ho ay gham ke lamdaro kis baat may tum kam ho ae sheh ke azadaro rasta nahi manzil ho dhadkan nahi tum dil ho mazloom ke tum haami har zulm ke qaatil ho insaan ki azmat ke har baab may shaamil ho zulmat ke samandar may tum noor ka saahil ho matam ke talabgaro kis baat may tum kam ho ae sheh ke azadaro…. nisbat hai payambar se nisbat tumhay hyder se is nisbat-e-maula se tum door rahe shar se tum aankh milate ho har waqt sitamgar se jo dars mila tumko salman avuzar se tum roop wohi dharo kis baat may tum kam ho ae sheh ke azadaro…. abbas ke parcham se seekhi hai wafadari aankhon may tumhare hai imaan ki bedaari kismat se mili tumko mazloom ki ghamkhari zaalim ke liye abh-bhi tum taygh ho do dhari mazloom ke gham khaaro kis baat may tum kam ho ae sheh ke azadaro…. zainab ki rida tumse karti hai sawaal aisa kis gham may bahaate ho aankon se lahoo apna kya ghar may tumhare bhi paighaam mera pahuncha jis deen ke laashe pe kaam aaya mera parda laaj uski rakho dekho kis baat may tum kam ho ae sheh ke azadaro…. kya dars liya tumne akbar ki jawani se kya seekha batao to karbal ki kahani se mat behlo qateebo ke alfaaz-o-mawani se mehfooz haqeeqat ko rakhna hai kahani se ay ilm ke mayyaro kis baat may tum kam ho ae sheh ke azadaro…. masjid ke musalmano maidan ke bano ghazi tum hur ki tarha maango ek raat may azaadi darbar may zaalim ke kyon bante ho faryadi sajjad ne jis tarha deeware sitam ghaadi deeware sitam ghaado kis baat may tum kam ho ae sheh ke azadaro…. tum nahj-e-lbalagha ki tafseer may dhal jao hyder ki ghulaami ka andaaz to apnao mazloom ko mat chedo zaalim se na ghabrao haq baat jo kehna hai suli pe bhi dohrao allah ke naqqaro kis baat may tum kam ho ae sheh ke azadaro…. shabbir ke matam may imaan ki hararat hai ye ayne ibadat hai ye ayne shariyyat hai shabbir ke paykar may islam ki nusrat hai khanjar ke talay dekho khayim jo ibadat hai maula ke tarafdaro kis baat may tum kam ho ae sheh ke azadaro…. socho to zaro manzar tum shaam-e-ghareeban ka ghar jalta tha jab ran may us waaris-e-quran ka pamaal tha jab laasha ek besar-o-samaan ka kirdaar magar kya tha us waaris-e-quran ka samjho to samajhdaro kis baat may tum kam ho ae sheh ke azadaro…. pyasa tha labay darya wo lakhte dil-e-zehra aankhon se barasta tha ghurbat may lahoo jiska wo waqt bhi tha kaisa cheh maah ka ek bacha haaton pe tadapta tha pani ka na khatra us waqt ke jaabaro kis baat may tum kam ho ae sheh ke azadaro…. halmin ki sada abh-bhi humse hai yehi kehti shabbir ki nusrat ki dil may jo tamanna thi kya abh-bhi hai wo baakhi jo chaah thi maula ki awaaz wohi dil ki har saans may hai abh-bhi jalte hue angaaro kis baat may tum kam ho ae sheh ke azadaro…. tum raahay sadaqat se imaan ki hararat se kirdaare imamat se afkaare risaalat se tum shaukhe shahadat se maula ki inayat se islam ki qidmat se mayyaare mohabbat se tareekh nayi likhdo kis baat may tum kam ho ae sheh ke azadaro…. imaan hai azadaari hai deen ki bedaari jarraari-o-karraari hai azme wafadari himmat na agar haari zinda rahi khuddari miljayegi sardari hyder ki tarafdari karke to zara dekho kis baat may tum kam ho ae sheh ke azadaro…. rehaan pe sarwar pe maula ki inayat hai nowhe ki azaano may matam ki ekhamat hai sach poocho ko dono ki har saans ibadat hai ae ehle aza tumko matam ki jo daawat hai moo mod ke mat jaao kis baat may tum kam ho ae sheh ke azadaro….