لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Milke Sab Matam E Shabbir Kare

Nadeem Sarwar1993
ShiaNohaLyrics
milke sab matam-e-shabbir kare dil ba dil sina ba sina, karbala tameer kare milke sab.... ye matam pehchan hamari, is pe jaan qurbaan hamari jism yehi ye jaan hamari, ye matam hai shaan hamari kehta hai imaan hamara sare jawaano peer kare milke sab.... asghar teri pyas ka matam, akbar ka abbas ka matam hasrat ka aur yaas ka matam, haasil hai ehsaas ka matam laakh zamana humko roke, hum iski tashheer kare milke sab.... ye matam mazloom ka matam, zehra ke masoom ka matam pani se mehroom ka matam, taygh tale halqoom ka matam is matam se hum jo chahe, waqt ko zanjeer kare milke sab.... abid ki zanjeer ka matam, kushk gale aur teer ka matam zainab ka shabbir ka matam, dil se kare dilgeer ka matam jo matam zainab ne kiya tha, hum uski tafseer kare milke sab.... matam kya hai sheh ka alam hai, ye matam to deen ka bharam hai jisse khushi ho wo yeh gham hai, haq ka yahi matam parcham hai is parcham ko is matam ko, seeno pe tahreer kare milke sab.... matam jis ka darya darya, jiski wafa imaan ka chehra jiske alam ka khoon pe pharera, doob gaya wo chand na duba uski wafaat kehti hai hum se, duniyo ko tasqeer kare milke sab.... yaad may teri shame ghariban, matam karne wale insan karte hai jab chaak ghareba, zehra khud hoti hai girya sunnat-e-zehra hai ye matam, isko aalamgeer kare milke sab.... karna saki jo bhayi ka gham, us zainab ki yaad me ab hum ranjo khushi se karke baham, har din samjhe mahe muharram zakhme dile zainab ki khatir, koi dawa akseer kare milke sab.... jinke rassan may haath bande thay, kaise bhala wo matam karte unke dilo may yaad basake, nowhay ki matam ki sada se ehle aza zehra ki dua se, khuld ko jageer kare milke sab.... maula aisa zarf ata kar, ye matam saughat bana kar lejaye seeno pe saja kar, shehre najaf may dil may basa kar apni azadari ka tohfa, nazre khyber-geer kare milke sab.... kehdenge rehan-o-sarwar, hashr may jab khatune mehshar poochengi ye baat jo aakar, chahiye kya matam ki bina par hum kehdenge hum ko ghulame shabbar-o-shabbir kare milke sab....