لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Tu hai bada rehman

Nadeem Sarwar1994
ShiaNohaLyrics
Aoozu billahe minash shaitanir rajim Bismillah hir rahmanir rahiym Ar-rahman allamal quran khalaqal insana allamahul bayan Ya Rahman ya Rahim…..x3 Ya hayyo ya Qayyum, ya Razzak ya Azim Al Nooro Al Mohanniyo Azizo ya Karim, Gaffar tu sattar tu jabbar ya Hakim Quddoos ya Shakur ya Gafooro ya Rahim Maula tu bara Rehman ……..x3 Tu hai bara Rehman maula tu bara Rehman …x2 Ehsan hampe hai tera ay rabbe zuljalal Ummatne uski paida kiya jo hai be misal Dukhtar Batul jiski Hassan or Hussain lal Lehmo ka lehmi jiska Ali jaisa ba kamal Qurano Ahlebait ko tune kiya yakjan Adam se taubeme diya aakhir teri etaat Tere karam ke bar tale sare Ambiya Musa ke haq me nil me rastaa banadiya Masloob hoke Essa ke labpar thi ye sada Har dilme tu makin hai kehneko laamakan Meraj par gaye jo Rasule falak janab Maabudo abd me na raha jab koi hijab Allah ne Nabise kiya us gari khitab Darkar kya hai tumko mujhe chahiye jawab Bole Rasul bakhshde ummat ko de amaan Rabne kaha Adaa karo haqqe payambari Jis waqt aaye rahme manzil gadirki Taqmile din kama hai us waqt ay Nabi Maidane qum me is tarah maula huwe Ali Akmalto lakum din ka ho jayenga saman Zehra ka ghar sitara jo utra to ye khula Mehboob panjetan ko bahot rakhta hai khuda Maktab Hasan Hussain ka ye ghar bana raha Masnad Nabiki isme musalla Ali ka tha Chaukhatpe jiski rehta hai jibrail se darban Is gharka fard fard kuda se tha hamkalam Sajdeme sar Hussainka labpar khuda ka naam Khanjar tale khuda se ye kehte rahe Imam Sar teri nazr kartahu ghar de chuka tamam Aata hu teri simt mai deta huwa azaan Akbar nisar kar diya Asghar bhi ro chuka Abbas or Kasimo Hur ko bhi ro chuka Zainab ke dono bachoko sehra me kho chuka Ab daste zulm chadare Zainab ka kya gaya Le dekhle Hussain ke chehre ka imtihan Khaimo se aag aag se uthta huwa dhuwa Nanna sa ek jula hai sholo ke darmiyan Daman jala Sakina ka kaise bujaye maa Bandhi gayi hai hato me Zainab ke reshma Ujra huwa hai kafela Sajjad Saarva Aayi sada Hussain ki ay kadiro kadir Beti Ali ki meri bahan ho gayi asir Be dast mera bhai hai tu sabka dastagir Kufeki shahzadiya kaisi huyi fakir Fir bhi mai nouke naiza pe deta hu ye bayan