لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Chin gayi sar se rida

Nadeem Sarwar1995
ShiaNohaLyrics
aal-e-muhammad pe aafat ki ghadi hai bhaiya teri behna sar nange khadi hai nalao-shewan se ek hashr bapa hai koi na waris raha khaima har ek jal gaya chin gayi sar se rida karti thi zainab buka uthne lage khaimo se aag ke sholay kaise teri behna bachcho ko sambhale ghash mein mera abid sholo may ghira hai chin gayi sar se ... haye ali akbar tum kyon nahi aaye zaalimon ne aakay sab khaimay jalaye kaun kare nusrat koi na raha hai chin gayi sar se ... cheen liye kaano se shimr ne gauhar kisse kare shikwa baba na biradar khoon sakina ke kaano se baha hai chin gayi sar se ... aag ne daaman ko jab uske jalaya bali sakina ne ro-ro ke sunaya dasht-e-bayaba hai aur karbobala hai chin gayi sar se ... maut ke sehra mein gham khurda hirasaa dhoondti hai bachchi har simt pareshaa lab pe fakhat baba baba ki sada hai chin gayi sar se ... makhtal mein goonji aawaz-e-bunayya yun na karo naale-aelaiyya door hai darya bhi aur khooni fiza hai chin gayi sar se ... tere chacha ko hai is waqt aziyyat jao na dariya pe gar hai koi ulfat mujse kaho beta jo unse gila hai chin gayi sar se ... teri phuphi beta sehra-e-bala may dhoondti hai tumko woh girdo-newa may teri judai se masroof-e-buka hai chin gayi sar se ... sunke anees-e-gham ye nauha iram may hoor-o-malak naale karne lage gham may majlis-e-sarwar may kohraam bapa hai chin gayi sar se ...