لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Garm reti pe mai

Nadeem Sarwar1995
ShiaNohaLyrics
Haay asr ka waqt hai Shabbir ki aati hai sada 1. Chur zakhmo se badan hogaya ama mera Apani agosh me ab mujko chupalo ama Are dhoop hai apni aba aan ke dalo ama (Garm reti pa me gir ta hu sambhalo ama)x2 2. Thak gayaa lash utha kar me bhare lashkar ki Laash qasim ki me laya hu kabhi akber ki Khud baniyi he lahad me ne ali asger Do tasali muje sine se lagalo ama Garm reti…………… 3. Teer talwar se, khanjar se badan zakhmi hai Khaak jalti hai to zakhmo chubhan hoti hai Mere zakhmo se mere dil ka lahu jari hai Apni chadar ko mere zakhm pe dalo ama Garm reti…………….. 4. Mera abbas khafa hogaya amma moojse Wo nahi aaya utha laya tha bazu uske Aap ek kaam kare nehre kanare jaake Mere ruthe huwe bhayi ko manaalo ama Garm reti……………. 5. Chakiya pisi hai godi me bithakar mujko Jaag ti rehti thi zaanu pe sula kar mujko Loriya detithi Jule me jula kar mujko Ek dafa god me phir apni sulalo ama Garm reti…………….. 6. Aur kuch der ka mehmaan hu tum paas raho Ret zakhmo me hai aachal se usey saaf karo Aati hai rone ki aawaz sakina dekho Jaawo tum jaake sakina ko sambhalo ama Garm reti…………….. 7. Dekh wo aag lagi shame ghariba aayi Dekho gabra ke nikal aayi meri ma jaayi Dekho behoosh sakina ka para hai bhayi Jawo sajad ko sholo se nikalo ama Garm reti…………….. 8. Hai ghuzarish meri tumse abitni madar Ama baba ki kasam dhamp lo moo par chadar Dekh jayenga na ab tumse ye khooni manzar Apni hota ho nighaho ko hataalo ama Garm reti……………… Hogi jab hashr ke maidan mai majlis barpa Farsh-e-gham shay ka bechay-engi Janab-e-Zehra Ayegi Hazarath-e-Sabbir ki REHAN Sada Aaj ji khool ke tum ashk baha loo ama Garm reti pa me girta hu sambhalo ama (2)