لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas aa rahe hai

Nadeem Sarwar1999
ShiaNohaLyrics
Abbas aa rahe hai (Ek shor hai, al amaan) x4 (Abbas aa rahe hai) x2 (Ek shor hai, al amaan) x4 (Abbas aa rahe hai) x2 Ek haath mein alam aur mashke sakina (Abbas aa rahe hai) x2 1. Kaandhe pe mashk mashk mein dil hai diler ka Darya ko chin lena nahi kaam der ka Ehsan tishnagi me hilega na ghair ka (Bighra hua mizaj hai) x2 Bighra hua mizaj jai hyder ke sher ka (Abbas aa rahe hai) x2 2. Chehra hai wal kamar ki ziyao se nur nur Aankho se jaakhta hua wan najal ka surur Bala kadi hai aaisi ke sharmae koheyr (Zulfe daraz aisi) x2 Zulfe daraz aisi ke wal lail ka shaur (Abbas aa rahe hai) x2 3. Pyaasa hai sher ghat ka rasta na rokna Aankhe jukawo sher ki janib na dekhna Kaise bache ye jaan ye lazim hai sochna (Abbas hai jalaal mai) x2 Abbas hai jalaal mai hargiz na tokna (Abbas aa rahe hai) x2 4. Tewar beta rahe hai kayamat uthayega Tege nazarse iski khuda hi bachayega Aaya jo samne koi who mara jayenga (Ek mashk me furat ko) x2 Ek mashk me furat ko bharkar dikhaega (Abbas aa rahe hai) x2 5. Kabza hua furat par al kissa mukhtasar Paani ko dekha phat gayaa abbas ka jigar Aankhe lahu lahu hui bachcho ki pyas par (Baali sakina bacho se) x2 Baal sakina bacho se kehti rahi udhar (Abbas aa rahe hai) x2 6. Khayme ke dar par pyaasi sakina thi muntazar Jumbish alam ki dekh ke deti thi yeh khabar Tishna labo dua me tumhari hua asar (Who dekho aa raha hai) x2 Wo dekho aa raha hai chacha ka alam nazar (Abbas aa rahe hai) x2 7. Aaya alam zurur magar khun me bharaa Zainab ne sar ko pitt ke shabbir se kaha Kyun kham kamar hai aap ki gaazi kaha gaya (Bole hussain ab koi) x2 Bole hussain ab koi pyaasa na de sadaa (Abbas aa rahe hai) x2 Ek haath me alam aur mashke sakina (Abbas aa rahe hai) x2 (Ek shor hai, al ama) x4