لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Salam nana ke roze salam maa ke mazar

Nadeem Sarwar2000
ShiaNohaLyrics
Chala mai waada nibhane salam maa ke mazaar salam nana ke roze salam maa ke mazaar 1. Mai tera deen bachaunga aye mere nana Mai apna khoon bahaunga aye mere nana hussain jata hai marne salam maa ke mazaar 2. Meri shareek e safar ban ke saath chal amma safar pe jaata hu kapde mere badal amma libas e khuld saja de, badan pe phir ek baar 3. Dua karo koi sar be rida na ho amma namaz e shauq e shahadat qaza na ho amma na aaye mere chaman pe, sitam ki gard o ghubar 4. Diye jalane ko nana tumari roze par zaroor aayegi sughra har ek sham o sahar khuda kare rahe roshan, sada tumhara mazaar 5. Tumhare jaisa hai nana ye mera laal akbar dua karo na lage isko aasma'n ki nazar lute na door watan se, hamare dil ka qaraar 6. Tamam phool se bache hai, aur garm hawa hamare khoon ki pyaasi hai fauj e zulm o jafa safar mein koi shajar bhi, nahi hai saaya daa'n 7. Ha ek phool to aisa hai jo khila bhi nahi na paaye paani to kar sakta wo gila bhi nahi wo jis ke dahan se aati, hai dudh ki mehkaa'n 8. Meri sakina kaha aur rasan ke band kaha'n zameen e garm pe chalna use pasand kaha'n qadam wo phool se nazuk, wo raaste purkhaa'n