لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Bhaayi shabbir

Nadeem Sarwar2005
ShiaNohaLyrics
Bhaayi shabbir Le chala karvaan khuda hafiz, (Haaye shabbir fiamanillah, chali hamsheer fiamanillah) x2 (Zamin ye bikhre huwe noor is behen ka salaam) x2 Badan darida o majboor is behen ka salaam Chali hai tumse bohot door is behen ka salaam Misaale fatema har dukh me muskuraungi Hussaim zindaa hai duniya ko me bataungi Bhayi shabbir fiamanilla, chali hamsheer fiamanillah salaam umme abiha ke godh ke paale, salaam karte hai zehra ke haath ke chaale, salaam zulfe muhammed se khelne waale, (parenge durre to me sabr aazmaungi) x2 Hussaim zindaa hai duniya ko me bataungi Bhayi shabbir fiamanilla, chali hamsheer fiamanillah Ye gham nahi hai ke me sogwaar kaydi hun, Abu turaab ki aur fatema ki beti hun, Me is kaleje mai kuwwat ali ki rakhti hun, (Yazide waqt ke khayber ki mai garaaungi) x2 Hussaim zindaa hai duniya ko me bataungi Bhayi shabbir fiamanilla, chali hamsheer fiamanillah Rahe wafaa ke bahattar masafiron ki kassam, Labe farat sulagte huwe gharon ki kassam, Sina ki nok pe rakhe huwe saron ki kassam (jalaale hazrate abbas banke jaaungi) x2 Hussaim zindaa hai duniya ko me bataungi Bhayi shabbir fiamanilla, chali hamsheer fiamanillah Khushi se ehle sitam bandha de mere bazu, Benege nuh ka tufaan ab mere ansuu, Na chhut sakegi ye khune hussain ki khushbu, (me sar khule huwe darbaare shaam jaungi) x2 Hussaim zindaa hai duniya ko me bataungi Bhayi shabbir fiamanilla, chali hamsheer fiamanillah Nigaah janibe dariya uthi to itna kahaa, Mere diler alamdaar fathaye dariya tujhe khabar hai mere sarse chhingayi hai rida (tere alam ka pharera rida banaaungi) x2 Hussaim zindaa hai duniya ko me bataungi Bhayi shabbir fiamanilla, chali hamsheer fiamanillah Jo ponchi shaam to bazaar ko sajaa dekha, Kabhi najaf to kabhi sue karbala dekha Pukaari baba mera tumne hosla dekha (jahaa bhi jawungi farshe azaa bichaungi) x2 Hussaim zindaa hai duniya ko me bataungi Bhayi shabbir fiamanilla, chali hamsheer fiamanillah Suna hai "sarwaro rehan" khwahare shabbir ali ke lehje me karti ye jis ghari takreer yazeedon shimr ke sine pe chalti thi shamsheer (wo jab ye kehti thi wade ko me nibhaaungi) x2 Hussaim zindaa hai duniya ko me bataungi Bhayi shabbir fiamanilla, chali hamsheer fiamanillah (Le chala karvaan khuda hafiz) x3