لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ham dekhenge

Nadeem Sarwar2006
ShiaNohaLyrics
Allahuma salle ala muhamaddi-wa aal-e-muhammad Bismillahir rahmanir-rahim Ya Muhammado ya Aliyyo, ya Aliyyo ya Muhammad Ikfayanee fa innakuma kaafeyaa(n) Wansuraani fa innakuma naasiraan Ya Mawlana Ya Sahebuz-zamaan Al ghauth, al ghauth, al ghauth Adrikni, adrikni, adrikni As-saa'at, as-saa'at, as-saa'ah Al-'ajal, al-'ajal, al-'ajal (Yabnaz-zahra) x3 Maa Zehra (Yabnaz-zahra) x3 Ya Fatema Ya sayyedi, ya murshadi Ya maulaayi, ya hassan mujtaba Shaam-o-sahar, ay rahabar Ay tajdaar-e-kaun-o-makaan Noor-e-khuda, ay muntazar Hai muntazir ye saara jahaan (Yabnaz-zahra) x3 Ya Fatema (Yabnaz-zahra) x3 Ya Fatema Kehte hai sab, jinn-o-bashar, Arz-o-samaan-o-dashta-e-jamal Hai mushrekee(n), lakho(n) agar Hai muhskilo(n) ka tu hi hal Aane lagi, dekho sada (Hayya ala khayril amal) x2 (Ham dekhenge) x2 lazim hai ke ham bhi dekhenge (Ham dekhenge) x2 (Wo roz ke jiska wada hai) x2 Jo lauh-e-azal pe likha hai Jo tera hai jo mera hai Konain mei jiska charcha hai Jab lauh-o-qalam ke chehre se Parde sarkaaye jaayenge Ham dekhenge, lazim hai ke ham bhi dekhenge, Ham dekhenge (Kuch raat gayi kuch baki hai) x2 Pardo(n) mei sahar kuch kehti hai Dil par jo ye dastak hoti hai Ghaybat mei koi ik haadi hai Jo hazir-o-nazir-o-qaaim hai Wo aayenge haa(n) ayenge Ham dekhenge, lazim hai ke ham bhi dekhenge, Ham dekhenge Haa(n) dekh badalte mausam ko Kya ho gaya nazm-e-aalam ko Cheyn aata nahi hai akhir kyu(n) Be chayniye nasl-e-Adam ko Dene de sada us qaaim ko Har uljhan wo suljaayenge Ham dekhenge, lazim hai ke ham bhi dekhenge, Ham dekhenge (Ye Jaffer-e-Sadiq ne hai kahaa) x2 Wo roz juma hai ashura Jab unki sawaari ayengi Tazeem karengi karbobala Kaabe se azaa(n) phir gunjengi Wo eik alam lehraaenge Ham dekhenge, lazim hai ke ham bhi dekhenge, Ham dekhenge Wo masjid-e-kufa mei aakar Majlis ka sajaayenge mimbhar Wo pursa lenge duniya se Shabbir ka khud zakir bankar Zainab ke masaaib karke bayaa(n) Mimbhar pe hi ghash khaajayenge Ham dekhenge, lazim hai ke ham bhi dekhenge, Ham dekhenge (Ankho(n) mei imam-e-zamana ki) x2 Rehti hai sada ik sath hijri Kehte hai ziyarat-e-nahiya mei Mei bhool nahi sakta hu kabhi Maa baine zameen-o-zeen jo tha Wo laasha bhool na paayenge Ham dekhenge, lazim hai ke ham bhi dekhenge, Ham dekhenge (Paighaame imam-e-zamana hai) x2 Gar jald mujhe bulwaana hai Taqwe ke musalle par jaakar Paighame amal pheylaana hai Jab ilm ke deep jalaawonge Ham ghaybat se aajayenge Ham dekhenge, lazim hai ke ham bhi dekhenge, Ham dekhenge (Tajeel ho ab ibn-e-zehra) x2 Hai vird "Rehan-o-Sarwar" ka Duniya ko zaroorat aap ki hai Deti hai sadaaye karbobala Wo roz ke jis ka wada hai Wo wada aap nibhaayenge Ham dekhenge, lazim hai ke ham bhi dekhenge, Ham dekhenge