لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Khanjar qareeb

Nadeem Sarwar2006
ShiaNohaLyrics
Khanjar qareeb (Jab mera Hussain, Fatema ka cheyn) x2 Pushte raahwaar se khaak pe ghira (Ya hussain) x3 Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai (Ya hussain) x2 (Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2 Jaan kar qareeb tar mera parwardigaar dekh Aashiq ka apne reyg-e-tapaa(n) par qaraar dekh Mera yakeen dekh mera etebaar dekh Mei kitna mutmain hu(n) idhar eik baar dekh Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai Pyaasa hu(n) teen roz ka zakhmo(n) se choor hu(n) Ya rab gawaah rahiyo ke mei bekasur hu(n) Che maah ho gaye mei watan se bhi door hu(n) Ab teri baargaah mei tere huzoor hu(n) Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai Ek qalb-e-natawaan be bahattar ka daagh hai Athara saal ke Ali Akbar ka daagh hai Bazu burida sher ka Asghar ka daag hai Lagna abhi luti huwi chadar ka daagh hai Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai Eh keh ke jo khamosh huwe sibt-e-payambar Dekh ke sarhaane khari hai madar-e-muztar Shehzadi ke sar par hai pari khaak ki chadar Kehti wo sar god mei Shabbir ka lekar Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai Mazloom ki imdaad ko aata nahi koi Paani dam-e-marg pilata nahi koi Zakhmo(n) pe lagi khaak churaata nahi koi Haay haay mere bache ko bachata nahi koi Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai Haider se kaha Zehra ne khof ata hai saheb Maa(n) hu(n) mera dil dard se tharrata hai saheb Ye dekhiye duniya se pisar jaata hai saheb Khanjar ko liye shimr chala aata hai saheb Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai (Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2 Farmaane lage maa(n) se basad ranj ye maula Kuch deyr mei ab kooch hai duniya se hamara Ay amma chali jaaye maqtal se khudara Kis tarah se dekhogi tarapta huwa laasha Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai (Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2 Ek baar jo khaymo(n) ki taraf yaas dekha Dekha ke dar-e-khaymaa(n) pe roti hai Sakina Ek hook uthi qalb mei rone lage maula Zainab se ishaaro(n) se kaha ay meri behna Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai (Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2 (Aawaz-e-ghaib aayi palat aa hussain aa) x2 Ab imtehaan tera mukammal yaha huwa Khun-e-pisar se tu hai wuzu ab to kar chuka Ye sun ke sheh ne sajde mei sar rakh ke ye kaha Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai (Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2 Jab ponchi behen bhaayi ke laashe pe khule sar Dekha ke la'ee(n) pher chuka halq pe khanjar Aur shimr liye jata hai sar gesoo pakar kar Ay "Sarwar-o-Rehan" karo yaad wo manzar Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai As'salaamu alayka ya tharallahi wabna thaari Wal witral mawtoor, ash'hadu annaka qad aqamtas-salaat Wa ataytaz-zakaat, wa amarta bil ma'aroofi wa nahayta annil munkar Wa ata'tallahu wa rasoolahu, hatta ataaqal yakeen As'salaamu alayka ayyuhash-shaheed As'salaamu alayka ayyuhal-mazloom, wabnul-mazloom