لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Wah mere laal

Nadeem Sarwar2006
ShiaNohaLyrics
Wah mere laal Abbas Abbas Abbas (Ghazi Abbas ko deke dee(n) ka alam) x2 Bole sibt-e-nabi mera ik kaam kar Mere bazu alamdar-e-shaah-e-wafa Ay ghani-o-sakhi mera ik kaam kar Ay khuda-e-wafa sayyeada ki dua Jurraton ke wali mera ik kaam kar Ay sabke wali ay meri zindagi Misle naade Ali mera ik kaam kar Chahta hai ye Shabbir bhai mere Aaj tak tera jaaho Hasham dekhle Is tarah shamiyon se tu kar guftagoo Lahjaye haidery ka bharam dekhle Ab ye parda utha inko jaake bata Azme Shabbir azme Hussaini hai kya Hum muhafiz hai Quran-o-islam ke Kis liye aaya hai bar sare Karbala Bol aise ke khaliq ko kehna pare Zate haider ke aqqas kya baat hai Aaj nehje balagha ka khaliq kahe (Wah mere laal Abbas kya baat hai) x2 Zaate Haider ke aqqas kya baat hai (Mere ghazi jari teri kya baat hai) x2 (Baat aqa ki ghazi ne jis dam suni) x2 Daftan sher ne ek angraee li Shaam ki fauji mein mach gayi khalbali Log kehne lage aa gayi kya Ali (Aur roohe Ali muskurane lagi) x2 Wah mere laal Abbas kya baat hai (Mere ghazi jari tere kya baat hai) x2 Bole Abbas ye lashkare shaam se Wo jo waqif nahi hai mere naam se Ba khabar wo nahi apne anjaam se Munsalik mei bhi hu(n) unke paighaam se (Yu(n) nawaza mujhe sheh ne inaam se) x2 Wah mere laal Abbas kya baat hai (Mere ghazi jari tere kya baat hai) x2 Mei bataawu tumhe kon shabbir hai Aqse islam Quran ki tafseer hai Khuld baagh-e-iram uski jageer hai Uske qadmo(n) tale hur ki taqdeer hai (Mere baare mei uski ye taqreer hai) x2 Wah mere laal Abbas kya baat hai (Mere ghazi jari tere kya baat hai) x2 Ye ghulaami ye sheh ka sharaf hai mila Malkae khuld ne mujh ko beta kaha Naam Abbas Zainab ne mera rakha Jhula Shabbir ne hai jhulaya mera (Phir Hassan ne gale se laga kar kaha) x2 Wah mere laal Abbas kya baat hai (Mere ghazi jari tere kya baat hai) x2 Pyaas bacho(n) ki laayi yaha tak mujhe Mashk ek bhar ke le jaawunga neher se Mere aaqa ne roka laraayi se hai Warna roke mujhe hosla hai kise (Mei hu betab sunlo yahi ek sada) x2 Wah mere laal Abbas kya baat hai (Mere ghazi jari tere kya baat hai) x2 Jab mukammal huwa zindagi ka safar Bola shabbir se bawafa nehr par Apne pairo(n) pe rakh lijiye mera sar Khush ho ummul banee(n) jab sune ye khabar (Mere bete se Shabbir ne keh diya) x2 Wah mere laal Abbas kya baat hai (Mere ghazi jari tere kya baat hai) x2 Haay "Rehan-o-Sarwar" ajab waqt tha Hoke be dast jab mera ghazi ghira Bawafa ka alam khu(n) mei tar hogaya Ruh-e-zehra pukaari sar-e-karbala (Tune saqqayi ka haq ada kar diya) x2 Wah mere laal Abbas kya baat hai (Mere ghazi jari tere kya baat hai) x2