لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Behti rahi furaat

Nadeem Sarwar2007
ShiaNohaLyrics
Behti rahi furaat (Aay shaam-e-ghariba) x5 (Behti rehi furat) x4 Khoon ho ker beh gaya Akber kaa dil Muskura kar ker Khatam Asger ho gaye (Behti rahi furat) x2 Karbala ke dasht me jaisaa andhera cha gaya Aa gaye sham-e-gharibaa surkh hai khak-e-shifaa Jhal gaye khaim-e-sar-e-shamm-e-Alamin Kitne manzar khaakh ho ker reh gaye (Behti rahi furat) x2 Dhal gaya dil shaam aayi shaam phir aisi ke baad do paher ke baad chayi aisi tanhayi ki baad Kis terhaa zehra kaa ghar lutaa gaya Kis terha be sar bahater ho gaye (Behti rahi furat) x2 Aaj subhe tak ye ghar roshan bhi tha abaad bhi sab ke waris the salamaat bhayi bhi awlaad bhi ik hawaa asi chali perdes me be zabaan bache bhi be sar ho gaye (Behti rahi furat) x2 Ye hai woh sham-e-gharibaa jo kayamaat bangayi dukhtar-e-zehra ke sar se jisne chadare chin li ya rasulallah kayamat ho gayi dakhile khayma sitamgar hogaye (Behti rahi furat) x2 Aik ik katre ko tarse ban me ab faal-e-hussain mashk zakhmi khali quze laash pamaal-e-hussain reh gayaa maidaan me be kas kaa tan jashan me masroof lashkar hogaye (Behti rahi furat) x2 Marte dam pani pisar mange padar majboor hai tu bataa sham-e-ghariba al qamaa kiya door hai waye nehre al qamaa behti rahi aur pyaase qatl akber hogaye (Behti rahi furat) x2 Hai wohi manzar wohi khaimay wohi tishna labi aaye hai sham-e-gharibaa khu(n) rulaane aaj bhi gham hame "rehan -o-sarwar" kyu na ho mahve mataam jab payambar hogaye (Behti rahi furat) x2 Khoon ho ker beh gaya Akber kaa dil Muskura kar ker Khatam Asger ho gaye (Behti rahi furat) x2