لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Qayd khaane mei

Nadeem Sarwar2007
ShiaNohaLyrics
Qayd khaane mei (Haay Saadat aur zindan) x2 (Haaye sadaat haaye zindaan) x2 (Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai) x2 Dukhtare Fatema ghairat se mui jaati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai Aasman door zameen sakht kidhar jaaoun mein Yahi behtar he ke dunya se guzar jaaoun mein Bibiyon milke duaa maango ke marjaaun mein Maut aati hi nahin jaan khichi jaati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai Amaad-e-hind ka ghul itrat-e-shabbir mein he Shor-e-matam haram-e-saahib-e-tathir mein hein Kehti he jaaoun kahan paaon to zanjeer mein he Paaon uthta he to zanjir lipat jaati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai Aa idhar bibi Sakina se ye Zainab ka bayaan Hind darbar se jab aayegi su-e-zindaan Sabr tum ko he dikhana na uthe shoro fughaan Haaye ye din bhi aseeri tumhe dikhlaati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai Dare zindaan pe huwa itne mein ambohe kamaal Jaane haatim ka he zindaa(n) mein nuzoolo ijlaal Qaidiyon uth ke dua deke karo istikbaal Zawja-e-haakime doraan he jo ye aati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai Hind ne dekhke raandon ki taraf di ye sada Kiska yusuf he ye zindaan mein giraftaare bala Bibiyaan kiski hai rakhti jo nahin sar pe rida Un ke chehron se to kuchh aur jhalak aati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai Dekhti kya he ke ik sher he aahan mein niha Laagharo khastatanon faaqakasho Tashnadahaan Naa to chalne ki taqat he na koi rishtae jaan Ghustakhaanon se larazne ki sada aati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai Aayi nazdeek jo Sajjad ke Hind-e-dilgeer Boli woh konsi isyan ki mili ye tazeer Bole dasween ki muharram ki joh pehni zanjeer Aaj taqdeer bhi qaidi humein kehlati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai Hind ne puchha maraz kya he kaha bepadari Ghar jo daryaft kiya kehne lage darbadari Boli leta he khabar kon kaha bekhabari Jo khabargeer the unko to lahed bhaati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai Baba sahib ke gale par jo na khanjar phirta Inke sar khulte na mein kaanton pe dar dar phirta Aur madine ki taraf sab ko mein le kar phirta Yaad hazrat mei watan ki humein tarpaati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai Hind ne naam madine ka jo abid se suna Khaak par beth gayi haal ye taaqeer huwa Boli kya zainab-o-kulsum se nisbat he bhala Aise chehron se to khushbu-e-wafaa aati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai Boli Zainab ke na le Zainab-o-Kulthum ke naam Woh nabi zaadiyan he qaid mein unka kya kaam Hind boli inhi baton mein hein sab un ka kalaam Kyun meri ruh tumhe dekh ke ghabraati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai Jo bhi surat he woh maasum nazar aati he Qudrate khaaliq-e-qayyum nazar aati he Koi Zainab koi Kulsum nazar aati he Un se taqdeer ye kis haal mein milwaati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai Gird aabid ke phiri phir woh ba haal-e-tagheer Bole woh kon ye chillai kaneez-e-Shabbir Assalaam ay rasan-o-tauq-o-salaasil ke aseer Nawha karti huwi qadmon mein giri jaati he Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai Bas "Dabeer" ab gham-e-shabbir se larzaa he jigar Hind bhi mehw-e-azaa aaj huwi nang-e-sar Qaidkhaane mein huwa sina zani se mehshar Yehi majlis he jo khud marsiya kehlaati he Haaye sadaat aur zindaan