لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Bas ya hussain

Nadeem Sarwar2008
ShiaNohaLyrics
Bas ya hussain (Hussain ya hussain) x3 Ay hur kise mili ye shahadat ki zebo zain, baadi pe tere aayi he khud maadare hussain, is martabe ke baad sab kuch to milgaya, ay hur hussain milgaye, rab tujhko milgaya (Kuchh nahin mila) x2 use tu nahin mila jise (Tu jisko milgaya rab usko milgaya) x3 (Bas ya Hussain) x4 Ye bas hussain ki ata (ye bas hussain ka jigar) x2 Jo kehdiya who motabar (jo dediya to sara ghar) x2 Karam hussain ka karam kisi pe hogaya agar Mile kisi ko bale par kisi ko milgaye pisar (Hur banadiya) x2 use jo ek baar milgaya Tu jisko milgaya rab usko milgaya (Bas ya Hussain) x4 (Wa tu izzu man tasha wa tuzzilu man tasha) x2 Adam ki puri nasl pe ehsan kon tha Jis par khuda ko naaz who insane kon tha Kunbe ke saath deen pe qurban kon tha Noke sina pe qariye quran kon tha Ay karbala bata tera mehman kon tha (Bas ya Hussain) x4 (Bas hussain ka) x2 jise ye ikhtiyaar milgaya Ye ikhtiyaar kitna waseelo buland he Sara jahaan Hussain ki mutthi mein band he Badla he karbala mein taqazae inqilab Neze pe ab jo sar he wohi sar buland he Ewane imbisaat mein jannat na kar talab Ye who ghame hussain ke aansu mein band he (Bas ya Hussain) x2 Tu jisko milgaya rab usko milgaya Dastaan Hussain ki samajh mein aagayi agar To hur ki rehguzaar par karega ishq ka safar Tarap tarap uthega tu kahega raat raat bhar Hussain bas hussain he sina pe ya zameen par (Shahe Karbala) x2 se jis ke bal ka taar mitgaya (Tu jisko milgaya rab usko milgaya) x2 Ik do pahar mein jisne bhara ghar luta diya Nagaah khuda he jispe who sajda ada kiya Apne lahu se khaak ko khaake shifa kiya Ashur ek roz tha sadiyon pe chha gaya Karbobala ko arshe muwalla bana diya (Bas ya Hussain) x4 (Salam ya Hussain) x2 rab ka itebaar milgaya Tu jisko milgaya rab usko milgaya Jab ran mein zulfiqar e ali nadahaan chali Bhich bhich gayin safon pe safeen who jahaan chali Chamki to is tarah udhar ayi wahaan chali Dene ko daad arsh se pyaase ki maa chali Muddat ka taal mel tha barson ka saath tha Jaisi who zulfiqar thi waisa hi haath tha Khaak aagayi safon ko jidhar aayi zulfiqar Geh chupgayi to gaah nazar aayi zulfiqar Sar par chamak ke taba qamar aayi zulfiqar Zi kat kar zameen pe utar aayi zulfiqar Phir to ye ghul huwa ke duhaayi hussain ki Allah ka ghazab he laraayi hussain ki (Hussain ya hussain) x4 Ayi nidae ghaib ke shabbir marhaba Is khaak ke liye thi ye shamsheer marhaba Ye aab ru ye jang ye tauqeer marhaba Bas bas hussain bas mere dilgeer marhaba Waqte namaaze asr he takbeer marhaba (Bas ya Hussain) x4 Labbaik keh ke tegh rakhi sheh ne myaan mein Palti sipaah aayi qayamat jahaan mein Lo khanjaron mein teghon mein bhagon mein ghir gaye Tanha Hussain barchiyon waalon mein ghir gaye (Hussain ya hussain) x4 "Rehan-o-sarware" hazeen suno ye aisa raaz he Hussain keh rahe the bas khuda pe mujhko naaz he Na bhai na pisar raha na koi chara saath he Azaan he Hussain he khudaaye beniyaz he Na seen na zameen par ye aakhri namaaz he (Hussain ya hussain) x4 Jiske dil mein Hussain rehta he Farsh majlis ka jo bichhata he Jo bhi nawha kahin sunata he Leke name Hussain rota he (Usko zehra salam karti he) x6 (Hussain ya Hussain) x4