لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Haan ye hai shehr-e-shaam

Nadeem Sarwar2008
ShiaNohaLyrics
Haan ye hai shehr-e-shaam (Haan ye he shehre shaam) x3 Haan ye he shehre shaam, choti shehzaadi ka he yahin par qayam, aaj roze pe he roshni subho shaam, Pursa daaron ka he maatmi azhdahan, phat raha he jigar sochta hun agar, kaisa tareeq tha, kaisa weeran tha, kaisa weeran tha kal ye zindaan tha, (bara roi sakina yahaan) x2 (Haan ye he shehre shaam) x2 Itni wehshat ke ik pal na guzre jahaan Chheekti ho jahaan sirf tanhaiyan Rona kya siskiyon par bhi pabandiyan Rassiyon beriyon tauq ke darmiyan (Bara roi sakina yahaan) x2 (Haan ye he shehre shaam) x2 Sar khule khaak par ghamzada bibiyan Usmein qasim ki akbar ki asghar ki maan Maang ujri huwi khali thi godiyan Sab ki himmat bandhati thi Zainab jahaan (Bara roi sakina yahaan) x2 (Haan ye he shehre shaam) x2 Haan isi shaam ke beech bazaar mein Bibiyan patharon ki thi bochhar mein Khun mein dubi Muhammad ki thi betiyan Har taraf shaam mein jashn ka tha samaan (Bara roi sakina yahaan) x2 (Haan ye he shehre shaam) x2 Dekh kar binte zehra ka yun sar khula Noke neza se ghazi ka sar girgaya Haye ghazi ki ghairat ka ye imtehaan Sar patakne lagi saari shehzadiyan (Bara roi sakina yahaan) x2 (Haan ye he shehre shaam) x2 Ik qayamat si darbar mein aagayi Jab sakina kaneezi mein mangi gayi Na padar na chacha bhai bhi natawa Tori sajjad ghaiz mein beriyan (Bara roi sakina yahaan) x2 (Haan ye he shehre shaam) x2 Dukhtare hind boli sakina bata Kaise daman jala kyun he kurta phata Aurni tere sar ki gayi he kahan Khainchi kis shaqi ne teri baliyaan (Bara roi sakina yahaan) x2 (Haan ye he shehre shaam) x2 Boli kya haal apna bataaoun tujhe Chhor ke jabse baba gaye hein mujhe Mein yateem hogayi aur kya ho bayaan Meri gardan mein bandhi gayi rassiyan (Bara roi sakina yahaan) x2 (Haan ye he shehre shaam) x2 Aur ik roz zindan rone laga Jab sakina ko baba ka sar milgaya Boli ab aye ho tum mere baba jaan Itne din mujhse dur rahe ho kahaan (Bara roi sakina yahaan) x2 (Haan ye he shehre shaam) x2 Royi "rehan-o-sarwar" ki ankhein lahu Rozae shahzaadi pe ki guftagu Haye is waqt hum tum khare hein jahaan Nur hi nur he kal thi tarikiyan (Bara roi sakina yahaan) x2 (Haan ye he shehre shaam) x2