لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ye maa(n) kaha na

Nadeem Sarwar2008
ShiaNohaLyrics
Ye maa(n) kaha na Yasrib mein aayi khaab mein zainab ke yun butool Maatha bhara tha khun mein sar par rida na thi Zainab ne puchha kiske lahu se jabeen hein laash Amma tum par to aafatein safare karbala na thi Ro kar kaha butool ne tum yaad to karo Tum apni yaad ko zara abaad to karo Kis waqt kis jagah mein shareeke aza na thi Ye maa kahaan na thi Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi Ye maa kahan na thi Royi tumhare saath bahattar ki laash par Akbar ki lash par ali asghar ki lash par Zainab mein kis shaheed ki sahib aza na thi Ye maa kahan na thi Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi Ye maa kahan na thi Jhara tha kisne balon se sehrae karbala Kisne bichhaya aake musallae karbala Haye haye me karbala mein shabe qatl kya na thi Ye maa kahan na thi Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi Ye maa kahan na thi Rakhte qauhan hussain ne manga tha jis ghari Khaime mein bibi tum ko ghash aya tha jis ghari Khaime ke peechhe rone ki meri sada na thi Ye maa kahan na thi Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi Ye maa kahan na thi Rukhsat ko aya khaime mein jab ibne bu turab Thami thi tumne jis ghari mazloom ki rakaab Kyaa sath sath ghore ke mein nnd paa na thi Ye maa kahan na thi Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi Ye maa kahan na thi Jab tum giri thi bhai ke laashe pe unt se Naaqe pe tum sawaar thi bazu rasan mein the Kya baal khole laashe pe khairun nisa na thi Ye maa kahan na thi Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi Ye maa kahan na thi Yasrab se taaba maariya aur wahan se taba sham Hamraah thi qadam ba qadam saath gaam gaam Zainab kahi hussain se zehra juda na thi Ye maa kahan na thi Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi Ye maa kahan na thi Zainab ye arz ki ke baja kehti he janaab Mein sunrahi hun jo ba khuda kehti hein janaab Ay waalida mujhe khabare dasto pa na thi Ye maa kahan na thi Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi Ye maa kahan na thi Imsaal bhi najaf ka irada tha ay "dabeer" Aur karbala bhi jaaoun ye socha tha ay "dabeer" Par rehgaye tarap ke ke kismat rasa na thi Ye maa kahan na thi Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi Ye maa kahan na thi