لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Bibiyan rehgayi

Nadeem Sarwar2009
ShiaNohaLyrics
(Sogaya lashkar) x2 (Ay shame gharibaan) x3 sogaya lashkar (Bibiyaan rehgayin) x2 Jalte huwe Jalte huwe khaimon ki bujhti raakh par (Bibiyaan rehgayin) x2 1. Dil se lagayae daagh bahattar nawhagar Bibiyaan rehgayin Jalte huwe khaimon ki bujhti raakh par (Bibiyaan rehgayin) x2 2. Shameghariban se kuchh pehle Jhula chaadar bistar tha Pehlu mein humshakle payambar God mein maa ki asghar tha Godiyaan Godiyaan khali maange ujri bepisar Bibiyaan rehgayin Jalte huwe khaimon ki bujhti raakh par Bibiyaan rehgayin 2. Haan ye abu talib ka kunba Betiyan saari haidar ki Azmate zehra azmate maryam Izzat thi payghambar ki Chaadarein Chaadarein maangti naame payambar darbadar Bibiyaan rehgayin Jalte huwe khaimon ki bujhti raakh par Bibiyaan rehgayin 3. Dhalta suraj soch raha he Waqte sahar kya manzar tha Mehwe ibadat zere alam Shabbir ka sara lashkar tha Sogaya Sogaya lashkar jaagne wali raat bhar Bibiyaan rehgayin Jalte huwe khaimon ki bujhti raakh par Bibiyaan rehgayin 4. Darya mojein maar raha he Pyaas abhi tak baqi he Shaayad ghazi lot ke aaye Aas abhi tak baqi he Dekh zara Dekh zara zainab ke baradar jaag kar Bibiyaan rehgayin Jalte huwe khaimon ki bujhti raakh par Bibiyaan rehgayin 5. Koi nahin jo puchhle aakar Kya huwi zainab teri chaadar Tere to the athara baradar Kyun he akeli pehre par Ham safar Ham safar maqtool huwe sab ham safar Bibiyaan rehgayin Jalte huwe khaimon ki bujhti raakh par Bibiyaan rehgayin 6. Socho zara rehano sarwar Shame gharibaan ka wo manzar Chaak girehban aaye jo haidar Dekh ke zainab ko pehre par Rodiye Rodiye haidar khaime maqtal dekh kar Bibiyaan rehgayin (Ay shame gharibaan) x3 sogaya lashkar