لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mein rahun ya na rahun

Nadeem Sarwar2009
ShiaNohaLyrics
(Ya Hussain) x2 Mabud taqabbal minna (Mein rahun ya na rahun) x2 Mera islam rahega Mera pegham rahega (Mein rahun ya na rahun) x2 1. Ay foje ashqiya mera islam rahega Quran rahega mera peghaam rahega (Mein rahun ya na rahun) x2 Mera islam rahega Mera pegham rahega (Mein rahun ya na rahun) x2 2. Jab zohr tak hussain bahattar ko rochuke Akbar ko rochuke Ali Asghar ko rochuke Ik dopahar mein bawafa lashkar ko rochuke Phir foje bad nasab se mukhatib huwe imam Hujjat tamam karta hun sunlo mera payaam (Mein rahun ya na rahun) x2 Mera islam rahega Mera pegham rahega (Mein rahun ya na rahun) x2 3. Farmaate the hussain ke mein be kasoor hun Roshan he tumpe chashme payambar ka noor hun Faqon se mein nidhal hun zakhmon se chhur hun Zakhmon pe zakhm pyaas ki shiddat mein khawunga Lekin mein nana jaan se wada nibhaunga (Mein rahun ya na rahun) x2 Mera islam rahega Mera pegham rahega (Mein rahun ya na rahun) x2 4. Darya ko tum ne chheen liya maine kuchh kaha Pani dikha dikha ke piiya meine kuchh kaha Daagh akbare jawaan ka diya meine kuchh kaha Haq par hun mere haq mein sina bolrahi he Sun lo who azan meri zubaa(n) bol rahi he (Mein rahun ya na rahun) x2 Mera islam rahega Mera pegham rahega (Mein rahun ya na rahun) x2 5. Maqsad he lailah ki baqa aur kuchh nahin wada ho zere tegh wafa aur kuchh nahin Iske siwa labon pe dua aur kuchh nahin Razi ho mujhse mera khuda chahta hun mein Mein hun hussain sab ka bhala chahta hun mein (Mein rahun ya na rahun) x2 Mera islam rahega Mera pegham rahega (Mein rahun ya na rahun) x2 6. Maqsad nahin he jang hamara khuda gawah Khat bhejke he tumne bulaya khuda gawah Bejurm tumne mujhko sataya khuda gawah Khanjar tale baland mein takbir karunga Apne lahu se khak pe tehreer karunga (Mein rahun ya na rahun) x2 Mera islam rahega Mera pegham rahega (Mein rahun ya na rahun) x2 7. Mein aur karun yazeed ki bayat nahin nahin Badlun ajal ke dar se shariyat nahin nahin Jeene ke badle chorun shahadat nahin nahin Tum kon ho naqaab rukhon se hataounga Mein kon hun ye noke sina par bataaounga (Mein rahun ya na rahun) x2 Mera islam rahega Mera pegham rahega (Mein rahun ya na rahun) x2 8. Aakar dare khayam pe zainab ko di sada Aa ay mere ghareeb behen aakhri dua Le aakhri salam hussaine ghareeb ka Maqsad he mera ka ye sabaq tujhko yaad he Meri shareeke kaar mujhe etemaad he (Mein rahun ya na rahun) x2 Mera islam rahega Mera pegham rahega (Mein rahun ya na rahun) x2 Zainab tarap ke boli ke bhaya samajhgayi Bhaiya tere ishaare ko behna samajh gayi Mein kya teri ghareeb Sakina samajh gayi Khutbon se mein hilaungi qasre yazeed ko Marne na dungi ab mein kisi bhi shaheed ko Hal min nasirin yansurna 9. Uthtaa ghobar zulm karakti he bijliyan Zee(n) se gire hussain uthi surkh aandhiyan Nagaah sar hussain ka aaya sare sina Quran suna ke sayyade mazloom ne kaha Lo nanajaan wada wafa meine kardiya (Mein rahun ya na rahun) x2 Mera islam rahega Mera pegham rahega (Mein rahun ya na rahun) x2 Mabud taqabbal minna 10. Ay sarwaro rehan ye lamha ajeeb he Neze pe lab kusha ye hussaine ghareeb he Zainab tumhari shame gharibaan kareeb he Sab kuchh tere hawaale he ab tum sambhalna Apna khayaal rakhna Sakina ko paalna