لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Na ro maula

Nadeem Sarwar2009
ShiaNohaLyrics
(Na ro maula) x4 Ayyuhal mazloom (Ya ayyuhal mazloom) x2 (Na ro maula ) x4 (Minhal ne ek din aake kaha) x2 Ay maula mere ay zainul aba Gham ziada kahan guzre tumpar Dil thaam liya khun rone lage Khun rote huwe bas itna kaha (Ash sham) x3 (Sajjad hay sajjad) x3 1. Minhal tarap kar kehne laga Rone ka sabab maula he kya Miraas shahadat aap ki he Maula ne kaha la raib magar Uff tune nahin insaaf kiya Beshak miras shahadat he Ye ale nabi ki fitrat he Sar beparda maa behno ka Ek ye bhi meri miraas thi kya (Ash sham) x3 (sajaad haye sajad) x3 2. Minhal mein kaise zinda hun Pal pal jeeta hun marta hun In ankhon ne jo kuchh dekha Ek ye bhi meri miraas thi kya (Ash sham) x3 (Sajjad hay sajjad) x3 3. Aghaaz he shame gharibaa(n) se Khun tapka chashme giryaa(n) se Behnon ka khula sar saamne tha Ek ye bhi meri miraas thi kya (Ash sham) x3 (Sajjad hay sajjad) x3 4. Kaise bhulun us manzar ko Neze pe phupi ki chadar ko Sahil se jo ghazi ne dekha Ek ye bhi meri miraas thi kya (Ash sham) x3 (Sajjad hay sajjad) x3 5. Namoose payambar be chaadar Aur sar pe baraste woh patthar Tar khoon mein tha sab ka chehra Ek ye bhi meri miraas thi kya 6. (Na gham tauqo zanjeer ka tha) x2 Gham phupiyon ka hamsheer ka tha Bazaar ke gham ne maar diya Ek ye bhi meri miraas thi kya (Ash sham) x3 (Sajjad hay sajjad) x3 7. Allah mere ye hadde sitam Pehro the khare darbaar mein ham Aur takht pe qatil betha tha Ek ye bhi meri miraas thi kya (Ash sham) x3 (Sajjad hay sajjad) x3 8. Ek sham ka ik zindaan ka gham Masoom si nanni jaan ka gham Jo ho na saki marke bhi riha Ek ye bhi meri miraas thi kya (Ash sham) x3 (Sajjad hay sajjad) x3 9. Rehano sarwar sham chalo Aur sham ki who galiyaa(n) dekho Bimaar jahan kehta hi raha Ek ye bhi meri miraas thi kya Ayyuhal mazloom (Ya ayyuhal mazloom) x2