لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Salaam abbas ya maula

Nadeem Sarwar2009
ShiaNohaLyrics
Ay shere nayastane haidar Ay (sakhi babul haawaij) x2 Bawafa Abbas As salaam ay bawafa babul hawaij As salam Bekaso(n) ka aasra babul hawaij as Salam (Qaime ale Muhammad)x2 kul imamon ka salaam Ey duae sayyada babul hawaij as Salam Who roz ke jiska wada he Who roz yaqeenan aayega Insaa(n) ka muqaddar badlega Jab noore imamat chhayega Gunje gi sadae jaaul haq Aur mehdie dauraan ayega Us roz se saare aalam me Bas ek alam lehraega Ghazi ka alam is saya Jo kal bhi tha jo aaj bhi he Aur is ka karam kal bhi hoga ( Abbas ) x3 1. Surajon mein chand band kar is tarah zinda raha Chadare zehra ke saaye mein sada palta raha Ye ali ibne abi talib ka sarmaya raha Zainabo kulthum ki bhi aankh ka tara raha (Salam abbas ya maula) x3 2. Hurmate deene nabi zehra ke ghar ki aabru Dil he ye ummul bane(n) ka aur haidar ka lahu Seerate shabbir o shabbar ka sarapa hubahu Panjatan ke darmiyaa(n) kiska sharaf aisa (Salam abbas ya maula) x3 3. Ye woh ghar he jis taraf dekha humein maula mila Har taraf maula hi maula ibteda ta inteha Gird maulaon ke ye ghazi he maulae wafa Ey khuda maula nabi maula ali maula (Salam abbas ya maula) x3 4. Hay ali ki baadshahi aasma(n) ho ya zamee(n) Hay ali isme ilaahi Mustafa ka jaanashee(n) Doosra Haider nahin he doosra ghazi nahin Ya ali kehta zabaa(n) ke saath dil bola (Salam abbas ya maula) x3 5. Barh raha he jaanibe darya alam abbas ka Kon rokega bhala barhta qadam abbas ka Haa(n) magar Shabbir ko sehna he gham abbas ka Umre shabbiri se apne ghaiz ko roka (Salam abbas ya maula) x3 6. Al amaa(n) woh mashk ka chhidna tarapna sher ka Ya Sakina Alwida kehkar who girna sher ka Dekhti hi rehgayi rasta Sakina sher ka Marke bhi seene se liptaeya tha mashkiza (Salam abbas ya maula) x3 7. Who karam lillah barhaale ghareeba(n) ya safeer Aap se hi lo lagaye hein ye saare maatami Sarwaro rehan ki qayim rahe ye naukri Ey sakhi babul hawaaij fazl ke baba (Salam abbas ya maula) x3 Saqa-e-Sakina