لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ye mahe muharram hai

Nadeem Sarwar2009
ShiaNohaLyrics
(arze karbala arze nainawa) x2 (arze arze karabala) x3 ay arze nainawa (Ye maahe muharram he ye ayyame aza he Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa he) 1. Is maah mein luti gayi zehra ki kamayi Talwar Muhammad ke nawase pe chalayi is maah mein jibreel se nauha ye suna he Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa he Ye maahe muharram he ye ayyame aza he Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa he 2. Is maahe muharram ne qayamat ye dikhayi Is chaand ne sughra ko khabar jaake sunayi Veeran madina he basi karbobala he Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa he Ye maahe muharram he ye ayyame aza he Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa he 3. Is maah mein saadaat ne din kaise guzare Masum ko pani na mila nehr kanare Kya zulm Muhammad ke gharane ne saha he Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa he Ye maahe muharram he ye ayyame aza he Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa he 4. Jab chaand muharram ka nazar aata he humko Sajda he azaakhana to yaad ataa he humko Is chaand mein khu(n) aale Muhammad ka baha he Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa he Ye maahe muharram he ye ayyame aza he Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa he 5. Aashur ka din bhool na paayega zamaana Luta gaya us roz Muhammad ka gharana Us roz se dunya mein bichhi farshe aza he Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa he Ye maahe muharram he ye ayyame aza he Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa he 6. Kya hosle maaon ke the kya sher the bachhe Woh maqsade zehra thi ye haidar ke iraade In maaon se bachhon se bani khake shifa he Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa he Ye maahe muharram he ye ayyame aza he Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa he 7. wo auno Muhammad ali akbar ali asghar wo qasime naushah woh abas-e-dilawar maqtal inhi shehzadon ke zakhmon se saja he Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa he Ye maahe muharram he ye ayyame aza he Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa he 8. (Ho sarwaro rehan shanawar ke ali jee) x2 He naukri virse me hussain ibne ali ki Awaazo qalam donon isi dar ki ata he Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa he Ye maahe muharram he ye ayyame aza he Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa he (arze  karabala) x3 ay arze nainawa