لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

jahan hussain waha lailahaillalah

Nadeem Sarwar2010
ShiaNohaLyrics
hussain hussain hussain charaag jalta raha jo qaafela tha rawaan wo qaafela hai rawaan safar ba noke sina sina ke saath azaan bureeda sar ki sadaayein fiza me phail gayi dareechon aanganon galiyon me tapte sehra se zameen o arsh khilaawon se aur fizaawon se dinon me raat me jangal me kohsaaron se sadaayein aane lagi ash'hado an la ilaaha illallah ye ek baar huwa aur la zawaal huwa sina ki nok pe subhaana rabbi al aala pukaara kalma e tauheed bhi jazaak allah jahaan hussain wahaan la illa ha illallah khateebe noke sina la illa ha illallah hussain din bhi hai aur diniyaat bhi hai hussain kalma e tauheed ki hayaat bhi hai hussain ramze khuda bhi khuda sifaat bhi hai hussain baara imaamon ki kaayenaat bhi hai hussain se hai ayaan la illaha illallah jahaan hussain wahaan la illa ha illallah khateebe noke sina la illa ha illallah wo gaud fatema zehra ki ho ke rege tapaan wo sehne kaaba ho pushte rasul ya ke sina fazaaye jang ho ya ho payaame amn o amaan na dekhein teer na talwaar gar ho hukme azaan hussain ka hai bayaan la illaha illallah jahaan hussain wahaan la illa ha illallah khateebe noke sina la illa ha illallah hussain waalon ki pehchaan hai azaadaari hussain waalon ki to jaan hai azaadaari hussain waalon ka imaan hai azaadaari hussain waalon ka elaan hai azaadaari hussainiyat ki zabaan la ilaha illallah jahaan hussain wahaan la illa ha illallah khateebe noke sina la illa ha illallah basi hai karbobala to koyi jawaaz bhi hai luta hai gulshane zahra to koyi raaz bhi hai ye raaz wo hai ke khaaliq ko is pe naaz bhi hai baraaye naaz bahattar ki wo namaaz bhi hai isi ka sirre nihaan la ilaha illallah jahaan hussain wahaan la illa ha illallah khateebe noke sina la illa ha illallah namaaz nafs ki izzat hai auliya ki qasam namaaz din ki hurmat hai ausiya ki qasam namaaz husne sharaafat hai ambiya ki qasam namaaz qissa e wahdat hai kibriya ki qasam namaaz khaire amal ki taraf bulaati hai namaaz ishqe khuda ka hunar sikhaati hai namaaz abd ko mabud se milaati hai namaaz guftugu allah se karaati hai yehi namaaz gunaahon se bhi bachaati hai namaz qabr talak saath saath jaati hai la illaha illallah namaaz wo hai jo faaqon me mustafa  ne parhi jaga ke apne hi qaatil ko murtaza  ne parhi jo chakiyon ki mushaqat me fatema  ne parhi gale laga ke zahar ko jo mujtaba  ne parhi jo chaahta hai ke azmat namaaz ki dekhe mere hussain  ka wo sajda akhri dekhe parhi namaaz jo aabid  ne pushte naaqa par adaa kiya jise baaqir  ne sakhtiyaan seh kar bayaan kiya jise jaafar  ne bar sare mimbar ruku me barson rahe jiske kaazime muztar raza  ne lab pe sari ar reza sajaa ke parhi taqi ne taqwa e butaalebi bataa ke parhi naqi ne naqwate baatil mita mita ke parhi aur askari ne khabar aakhri suna ke parhi pase namaaz musalle pe ro raha koyi imaame asr hai aur hujjate khuda hai wohi jahaan hussain wahaan la illa ha illallah khateebe noke sina la illa ha illallah wo khaimagaah wo saydaaniyaan wo zikre khuda jahaan musalle pe zainab rabaab aur fizza hasan ki bewaa ruqayya sakina ka sajda tamaam bibiyaan karti thi sirf ek dua mere khuda hame manzur kehte aab rahe hussain apne iraadon me kaameyaab rahe sadaa e tishna labaan la illa ha illallah jahaan hussain wahaan la illa ha illallah khateebe noke sina la illa ha illallah magar namaaz se putcho ke karbala kya hai hussain aur tera rishta e wafa kya hai kaha namaaz ne sunlo meri baqaa kya hai bas ek sajda e shabbir ke siwa kya hai hussain hi ka gharaana bacha gaya mujhko wo khud ujarh gaya lekin sajaa gaya mujhko mayaane karbobala aah maine kya dekha ghera la’eenon me kunba rasul ka dekha butul zaadon ko be aab o be ghazaa dekha bahaata paani udhar lashkare jafaa dekha namaaz parhte rahe dil me isteraab na tha guzar gaye the kayi din ke ghar me aab na tha bataawun kaise ke daswi ko maine kya dekha sahar huwi to shahaadat ka silsila dekha kisi ka sina to zakhmi koyi gala dekha labe faraat alam khun me bhara dekha hussain laashon pe laashen yuhi uthaate rahe aur apni raahe shahaadat ki samt jaate rahe kamar ruku’ ki tarha thi magar hussain uthe ke ehle zulm pe laazimtha ab ke tegh chale ghazab ki tegh chali koyi rokta kaise imaame waqt the allah ki riza pe ruke azaane asr suni azaane asr suni dekha aalame baala kaha hussain ne subhaana rabbi al aala aayi sadaa e ghaib ibaadat ka waqt hai ay fatema ke laal telaawat ka waqt hai jannat me saf bandhi hai imaamat ka waqt hai bas bas hussain bas ye ibaadat ka waqt hai rakhli mayaan me shahe waala ne zulfeqaar Woh gauf bandhe aaye qamadar das hazaar Woh beshumar tego ke phal aur ek Hussain Woh sekdo payame ajal aur ek Hussain Dube huwe the khoon me geso Hussain ke Teron ne chaan daale the pehloo Hussain ke Naize kabhi naize ke pehlo pe kiya waar Qandhe pe chale saas zara rakibe talwar Na waqt beni kahil ka kaleja pe hiwa waar Bazoo me dar aya sabare khuliye khukhaar Tege ubhi huwi jo barabar se chal gayi Gash kha gaya kalam se nakae nikal gaye Kyu kar kaho ke ashke khuda khaaq par gira Khyrunnisa ka maha laka khaaq par gira Reti pe mustafa ke jigar ka lahoo gira Sayed ki gira Imam gira ke khoon gira Woh zulm wo raha tha ke duniya ulatti thi Jab zere teg gardane Shabbir katti thi Woh khuldah teg zaigamo Zehra pe chalti thi Matam kunah namaz thi aur khoon roti thi Jaari thi yeh sadae nabi ka nawasa hoon Amma pilao paani main pyaasa hu...2 Ya Hussain...x4 Ajab ada se jab namazi namaz padhe kar gaya Behan ke saamne noke sina pe chadhke gaya Nazar main bhai ke sajdon ki aabotab jo thi Behen sar khule makhtal me maghrebain padhi Nazar ke saamne har mahelaqa ki laash rahi Gham e Hussain ki barchi utha gayi Zainab Magar namaz ki duniya basa gayi Zainab