لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

yadekal khair bhi ham

Nadeem Sarwar2010
ShiaNohaLyrics
Ya hussain , ya hussain , ya hussain , ya hussain Haye!! Aseer qafila darbar e sham jab aaya, Yazeed (LA) Zainab-e-Kubra (SA) se yun huwa goya Lo aj raaz “Wa tu izzu man tasha” ka khula Ke ba weqaar hua kon, kon hai ruswa O! Bad kalam theher, O! Bad kalam theher, Bolen Zainab-e-Kubra (SA) Nashay mai mast hai aayat yeh poori sab ko suna, Wo haath khair ka hai kon mujh ko yeh to bata Ke jis se zillat o tauqeer bant’ta hai khuda Wo haath tu hai ke hum? Wo haath tu hai ke Hum Ahlebait(AS) hain us kay, hum hi hai izzat o zillat k baatne wale Yad e kal khair bhi hum, Rabb e kaaba ki qasam Unhi hathon mai rasan, sar e darbar e sitam 1. Zainabi (AS) lehje me awaaz e Ali (AS) goonj uthi Zulm or jabr ke darbar pe bijli si giri Laeq e hamd hai jis ne hame izzat bakhshi Surah e Rum se shehzadi ne aayat yeh padhi Jo bure the so bura..(2) un ka hi anjaam hua Jis ne Quran ko jhutlaya wo nakaam hua Yad e kal khair bhi hum, Rabb e Kaaba ki Qasam Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam 2. Kia kaha tu ne?..(2) ke haq se hame ruswai mili Hum yeh kehte hai hame izzat o sachai mili Hum ko Quran mila Rabb ki shanasayi mili Mere pyaro ko sina par bhi pazirayi mili Ibn e Marjana tere..(2) jubba o dastar talak Karbala aagayi ab sham ke darbar talak Yad e kal khair bhi hum, Rabb e kaaba ki qasam Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam 3. Aye mere bhai ke qatil hawas e zarr ke ghulaam Imtehan yeh bhi hai mai aur karun tujh se kalaam Yun mukhatib hu ke  dil mai hai mere gham ki husaam Mujh ko dena hai Hussain ibn e Ali (AS) ka payghaam Kar kay tazheek e Nabi (SAWW)..(2) tujh ko maza aata hai Inteqam e ohad o badr pe itrataa hai Yad e kal khair bhi hum, Rabb e kaaba ki qasam Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam 4. Aye Yazeed e sitmai! Jaag bohat shaad hai tu Qaid karke hame samjha hai ke azaad hai tu Yeh teri khaam khayali hai ke abaad hai tu Nasl dar nasl sada ke liye barbaad hai tu Faisla Rab ka hai..(2), mohlat hai sambhal jaane ki Dheel dee jati hai zalim ko sambhal jaane ki Yad e kal khair bhi hum, Rabb e kaaba ki qasam Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam 5. Aaj kis zom mai ashraf ka khoon peeta hai Kaat kay baagh e Risalat ko tu khush hota hai Cheekhta phirta hai tu badr ka yeh badla hai Mujh ko hairat nahi hinda hi ka tu beta hai Hoga maloom shaqawat..(2), ka nateeja us din Badla yeh kya hai, liya jayega badla us din Yad e kal khair bhi hum, Rabb e kaaba ki qasam Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam 6. Kardiya qatl hamein tu ne ghalat socha hai Gosht apna hi chabaya hai badan nocha hai Kya khabar tujh ko ke hum logo ka rutba kya hai Aal e Imran mai Allah ka yeh waada hai Shohada surat e Quran, sada zinda hain Wo to wo un ke muhibban sadaa zinda hin Yad e kal khair bhi hum, Rabb e kaaba ki qasam Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam 7. Haye! Mehwe hairat hun jinhe Rab ne sar afraaz kiya Ilm e Quran diya or yad e kal khair kaha Ah! Un Bagh e Risalat ke gulo'n ko masla Aasteeno se tumhari hai lahoo un ka baha Pak o pakeeza banaye..(2), the jo khud rabb ne badan Aaj sehra mai pade hain wohi be gor o kafan Yad e kal khair bhi hum, Rabb e kaaba ki qasam Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam 8. Aazma le sitami jaag sitam ke har be Dekh baqi tere dil mai koi hasrat na rahe Reh gaya ho jo sitam koi to wo bhi karle Jeet kar har gaye teri hukumat hum se Fikr e Shabbir (AS) to phaylay..(2) gi, Muhammad (SAWW) ki qasam Yeh tere bus me nahi malik o mukhtar hain hum Yad e kal khair bhi hum, Rabb e kaaba ki qasam Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam 9. Hafiz e Nahj e Balagha ka tha wo rob o jalaal Maut ki khamoshi jesa hua darbar ka haal Jag utheen bibiyan jo gham se musalsal thi nidhaal Bhare darbaar se mazloom khateeba ka sawal Kalema jis ka padha..(2), us ka jigar kaat liya Apne Mohsin he ke nawaase he ka sar kaat liya Yad e kal khair bhi hum, Rabb e kaaba ki qasam Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam 10. Tum the nau laakh darinde wo bahattar (72) insaan Un bahattar me bhi Asghar (AS) sa tha ek tishna dahan Aisa masoom qasam khata hai jin ki Qur’an Haye un pyaaso ke hulqoom pe khanjar tha rawan Tum yeh kehte ho paye..(2) jung Hussain (AS) aaya tha Betiyo behno ko phir saath me kyun laya tha? Yad e kal khair bhi hum, Rabb e kaaba ki qasam Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam 11. Aye Yazeed(LA)! Aj na kyun tujh pe falak toot pade Tu ne wo zulm kiye jis se Muhammad (SAWW) roye Haye namoos e Nabi (SAWW) kucha o bazaar phire Dar o deewar saje kothon se patthar barse Shamiyo hum pe naya..(2), ab yeh ghazab karte ho Choti Zehra (SA) ko kaneezi mai talab karte ho? Yad e kal khair bhi hum, Rabb e kaaba ki qasam Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam 12. Khatm taqreer hui..(2), mehshar e khamosh utha Ya Ali (AS)! Aap ki beti ka ajab khutba tha Murda darbaar pe chahi thi khateeba ki sada Bich gayi Sarwar o Rehan wahan farsh e Aza Bhai kay sir pe nazar..(2), Zainab e Kubra (SA) ki padhi Jhuk gayi Bali Sakina (SA) pe Ali (AS) ki beti