لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Jab hukme Rihaayi mila

Nadeem Sarwar2011
ShiaNohaLyrics
jab hukme rihaai mila zindan se haram ko ek ghar bhi mayassar hua tarseeda e gham ko us ghar pe lagaya gaya ek syah alam ko zainab ne kaha rona hai dil khol ke hum ko phir farshe aza milke aseeron ne bichaya aur sham ke ghar ghar se paye pursa o girya ek ghaul azadaar khawateen ka aaya phir majlise awwal ka yun aaghaaz hua tha us majlise awwal ki jo awwal thi khateeba ghar bhar ki azadaar wohi zainab e kubra khutba padha aaghaaz kiya majlise gham ka haye khutba abhi jari tha ke ek shor sa utha ke sar aate hai majlis may shaheedan e sitam ke ay bibiyon matam karo halqe may haram ke haye hum lut gaye haye barbaad huye haye qaidi bane haye dar dar phire haye matam karo haye pehle wahan ansare hussaini ke sar aaye hur jaun habeeb ibne mazahir ke sar aaye wehab e kalbi ausaja tashna jigar aaye matam hua us pehle azakhane may aise shehzadiyan roti ho sagay bhai ko jaise haye hum lut gaye.... haye ek chand sa sar dekha ke jo khoon may tar hai sab kehne lage ye kisi naushah ka sar hai farwa ne kaha haan ye mera lakhte jigar hai arey qasim mujhe sehra bhi dikhane nahi aaye arey zindan se amma ko chudhane nahi aaye haye hum lut gaye.... haye do chote se sar godh may sajjad jo laaye zainab ne kaha aun o mohamed mere aaye arey qurban gayi koi meri godh may laaye royi nahi matam na kiya pyar to karloo ay bhai ijazat hai inhe aaj to roloon haye hum lut gaye.... haye jaise hi azakhane may akbar ka sar aaya zainab ne sare aun o mohamed ko hataya aaghosh se bhabhi ki sar akbar ka uthaya arey chillayi mere laal zara aankhein to kholo arey sughra ke liye hai koi paigham to bolo haye hum lut gaye.... haye ek chote se sayyed ka jo sar saamne jo aaya moo ashkon se maa ne ali asghar ka dhulaaya har bibi ne us sar ko kaleje se lagaya arey ro ro ke sakina ko sada deti thi madar arey aajao tumhein dhoond raha hai ali asghar haye hum lut gaye.... haye sar aaya wahan jab bani hashim ke qamar ka rote hue har bibi ne dukhda ye sunaya ay zaamine chadar tu bahot dayr may aaaya ye dekh ke har bibi ka sad chaak jigar tha ke pehlu may alam ke hi alamdar ka sar tha haye hum lut gaye.... haye sar majlis e shabbir may shabbir ka aaya har bibi ke lab pe thi sada haye hussaina matam ki sadaon may ye zainab ne sunaya ke ay mere aqi dekh teri farshe aza hai matam tera is majlise awwal may bapa hai haye hum lut gaye.... haye loote hue asbab may jo cheeze mili thi sadaat se ye shame ghariban may chini thi tar khoon may do baliyan bhi unmay rakhi thi ay sarwar o rehan azadariye sheh ka tha pehla azakhana saron se jo saja tha haye hum lut gaye....