لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya Hussain

Nadeem Sarwar2012
ShiaNohaLyrics
Ya Hussain Ya Hussain Haye Sham E Ghareeban Haye Sham E Ghareeban Haye Sham E Ghareeban... Ya Hussain... Ya Hussain... Ya Hussain... Ya Hussain... Ya Hussain... Ya Hussain... Haaye... Chha Gayi Sham E Ghareeban E Haram Ab Na Ghazi Hai Na Ghazi Ka Alam Ek Beemar Hai Wo Bhi Labe Dam Saare Alam Mein Barpa Hai Matam Jal Chuke Khaimey Laeen Lut Chuke Sar Se Rida Dasht Mein Aati Hai Saadaat Ke, Rone Ki Sada Ya Hussain... Ya Hussain... Ya Hussain... Haaye... Ya Hussain Khushta E Taigh E Jafa Ya Hussain Sibte Rasool E Khuda Haye Sar Bar Sar E Neza Tera Darbadar Le Gayi Fauj E Aada Beqafan Laasha O Besar Hai Ghareeb E Zahra Hai Badan Ghoron Se Paamaal, Tera Wa Waila Ya Hussain... Ya Hussain... Ya Hussain... Haaye... Nainawa Dasht E Bala Karbala Kyun Huyi Jor O Jafa Karbala Kya Thi Pyaason Ki Khata Karbala Kuch To Keh Kuch To Bata Karbala Apne Mehmaan Pe Ye Bandish E Pani Kyun Kar Jis Ki Maadar Ko Mehr Mein Mila, Hauz E Kausar Ya Hussain... Ya Hussain... Ya Hussain... Haaye... Ek Maqtal Mein Bahatar Laashey Bhaanje Bete Bhatije Pyaasey Paara Paara Huye Saare Aise Ek Qura'an Ke Paare Jaise Khaaq Urr Urr Ke Shaheedon Ka Qafan Banti Thi Khuld Se Fatima Zehra Ki Sada Aati Thi Ya Hussain... Ya Hussain... Ya Hussain... Haaye... Ek Taraf Behta Tha Darya E Furaat Ek Taraf Pyaason Pe Mushkil Thi Hayaat Baad E Shabbir Aseeron Ki Ye Raat Kaise Guzri Tan E Sadbash Ke Saath Koi Bhai Ko Koi Roti Thi Beton Ke Liye Beqasi Wo Thi Ke Aansoo Na The, Aankhon Ke Liye Ya Hussain... Ya Hussain... Ya Hussain... Haaye... Fatima Zehra Ye Deti Hain Dua Ta Qayamat Rahe Ye Farsh E Aza Yunhi Aati Rahe Matam Ki Sada.. (Hussain Ya Hussain, Hussain Ya Hussain, Hussain Ya Hussain) Yunhi Aati Rahe Matam Ki Sada Ho Har Ik Lab Pe Hussaini Nauha Hashr Mein Sheh Ke Azadaron Se Pursa Loon Gi Main Azadaron Ko Jannat Ki, Basharat Doon Gi Ya Hussain... Ya Hussain... Ya Hussain... Haaye... Alvida Laash E Ghareeb E Ghurba Alvida Laash E Jameel E Shuhada Alvida Beqafan O Bewatana Alvida Aal E Ghareeb E Zehra Zindagi Hai To Ye Seene Hain Ye Aansoo Hazir Warna Maula Hai Hamara Ye, Salaam E Aakhir Ya Hussain... Ya Hussain... Ya Hussain... Haaye... Karte Hain Sarwar O Rehan Dua Hum Se Raazi Ho Janab E Zahra Dil Ki Dhadkan Mein Hai Matam Ki Sada.. (Hussain Ya Hussain, Hussain Ya Hussain, Hussain Ya Hussain) Dil Ki Dhadkan Mein Hai Matam Ki Sada Saare Alam Mein Bichhe Farsh E Aza Nasl Dar Nasl Ye Matam Ye Azadar Rahein Panjtan Pak Sada In Ke, Madadgaar Rahein Ya Hussain... Ya Hussain... Ya Hussain...