لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

qaidi hun mein baba jaan

Nadeem Sarwar2012
ShiaNohaLyrics
qaidi hun mein baba jaan qaidi hun mein baba jaan ab shaahzaadi kahaan qaidi hun mein baba jaan ab shaahzaadi kahaan na apna wo ghar hai na apna madina wo baahein chachaa ki tumhaara wo sinaa bolo khudaara tum ho kahaan mein kahaan qaidi hun mein baba jaan jis din se tumse judaa ho gayi hun dekho to baba mao kya ho gayi hun ujda makaan hai rehti hun ab mein jahaan qaidi hun mein baba jaan kehti na thi dekho na jaao baba taras khaao mujh par taras khaao baba tum kya gaye ho mujh par gira aasmaan qaidi hun mein baba jaan jaise hi neze pe tum aaye baba maine tamaache bohot khaaye baba rukhsaar par hain abhi tak sitam ke nishaan qaidi hun mein baba jaan maanga kaneezi me baba kisi ne phenka meri samt sadqa kisi ne paidal chali hun kaanton ke mai darmyaan qaidi hun mein baba jaan milne ko ham se chale aawo baba ek baar chehra dikha jaawo baba ay pyaare baba phir ham kahaan tu kahaan qaidi hun mein baba jaan chalo shaam chalte hain rehan o sarwar vahaan dekhna kya hai chehlum ka manzar bibi sakina karti hai ab tak fughaan qaidi hun mein baba jaan ab shaazaadi kahaan